How to Gain Weight in a Week?

How to Gain Weight in a Week?
7 Dino men Wazan Badhaen!

(In the Name of Allah, Most Gracious, Most Merciful)

(In the Name of Allah, Most Gracious, Most Merciful)

Learn English Grammar
Showing posts with label Poetry. Show all posts
Showing posts with label Poetry. Show all posts

Qateel's Ghazals

Dard Se Mera Daman Bhar De Ya Allah


Dard se mera daman bhar de ya Allah
Phir chahe diwana kar de ya Allah

Main ne tujhse chand sitare kab mange
Raushan dil bedar nazar de ya Allah

Suraj si ik chiz to ham sab dekh chuke
Sach-much ki ab koi sahar de ya Allah

Ya dharti k zakhmon par marham rakh de
Ya mera dil patthar kar de ya Allah
*************************

Apne Honton Par Sajana Chahta Hun


Apne honton par sajana chahta hun
Aa tujhe main gungunana chahta hun

Koi ansu tere daman par gira kar
Buond ko mooti banana chahta hun

Thak gaya main karte-karte yad tujhko
Ab tujhe main yad ana chahta hun

Cha raha hai sari basti mein andhera
Raushani ho ghar jalana chahta hun

Akhri hichki tere zanon pe aye
Maut bhi main shair'rana chahta hun
*************************

Apne Hathon Ki Lakiron Mein Basale Mujhko


Apne hathon ki lakiron mein basale mujhko
Main hun tera nasib apna bana le mujhko

Mujhse tu puchne aya hai wafa k mani
Ye teri sada dili mar na dale mujhko

Main samandar bhi hun moti bhi hun gotazan bhi
Koi bhi nam mera le k bulale mujhko

Tune dekha nahin aine se age kuch bhi
Khud'parasti mein kahin tu na ganwale mujhko

Kal ki bat aur hai main ab sa rahun ya na rahun
Jitna ji chahe tera aj satale mujhko

Khud ko main bant na dalun kahin daman-daman
Kar diya tune agar mere hawale mujhko

Main jo kanta hun to chal mujh se bachakar daman
Main hun gar phul to jure mein sajale mujhko

Main khule dar k kisi ghar ka hun saman pyare
Tu dabe paon kabhi aa k churale mujhko

Tark-e-ulfat ki qasam bhi koi hoti hai qasam
Tu kabhi yad to kar bhulanewale mujhko

Bada phir bada hai main zahar bhi pi jaun "Qateel"
Shart ye hai k koi bahon mein sambhale mujhko
*************************

Angrai Par Angrai Leti Hai Rat Judai Ki


Angrai par angrai leti hai rat judai ki
Tum kya samjho tum kya jano bat meri tanhai ki

Kaun siyahi ghol raha tha waqt k bahte dariya mein
Main ne ankh jhuki dekhi hai aj kisi harjai ki

Wasl ki rat na jane kyun israr tha unko jane par
Waqt se pehle doob gae taron ne bari daanai ki

Urte urte aas ka panchi dur ufaq mein dub gaya
Rote rote baith gai awaz kisi saudai kia
*************************

Zindagi Mein To Sabhi Pyar Kiya Karte Hain


Zindagi mein to sabhi pyar kiya karte hain
Main to mar kar bhi meri jan tujhe chahunga

Tu mila hai to ye ehsas hua hai mujhko
Ye meri umr mohabbat k liye thori hai
Ik zara sa gam-e-dauran ka bhi haq hai jis par
Main ne wo sans bhi tere liye rakh chori hai
Tujh pe ho jaunga qurban tujhe chahunga

Apne jazbat mein nagmat rachane k liye
Main ne dharakan ki tarah dil mein basaya hai tujhe
Main tasawwur bhi judai ka bhala kaise karun
Main ne qismat ki lakiron se churaya hai tujhe
Pyar ka ban k nigehaban tujhe chahunga

Teri har chap se jalte hain khayalon mein chirag
Jab bhi tu aye jagata hua jadu aye
Tujhako chhu lun to phir ae jan-e-tamanna mujhko
Der tak apne badan se teri khushbu aye
Tu bahron ka hai unwan tujhe chahunga

*************************

Pehlay To Wohi Dushman


Pehlay To Wohi Dushman, Phir Uski Ada Dushman
Darkar Nahi Hm Ko, Ab KOi Naya Dushman

Har Shakhs Mukhtalik Tha, Jb Uss Sy Marasim Thay
Ab Uss K Bichartay He, KOi Na Raha Dushman

TOba To Nahi Mushkil, Mushkil Hay To Bus Yai Hay
Hum Jaam Agar TOrain,Bun Jayai Ghata Dushman

Kiya Husn-e-Zan Apna Tha, Uss Shaks K Baray Main
Js Doost Nay Samjaya , WO Hm Ko Laga Dushman

KOi B Qateel Un Ki Pehchan Na Kar Paayai
Kiya Rang Badaltay Hain, Yai Doost Numa Duhman

Perveen Shakir's Ghazals

Naya Dard Ik Dil Mein Jaga Kar Chala Gya.


Naya Dard Aek Dil Mein Jaga Kar Chala Gya.
Kal Phir Woh Mere Sheher Mein Aa Ker Chala Gya.

Jis Se Dhoondta Raha Main Lougon Ki Bherr Mein.
Mujh Se Woh Apna Aap Chupa Kar Chala Gya.

Main Oski Khamoshi Ka Sabab Poochta Raha.
Woh Qisse Idhar Udhar Ke Suna Kar Chala Gya.

Yeh Sochta Hoon Kese Bhulaaoon Ga Ab Osse.
Aek Woh Jo MujhKo Bhula Kar Chala Gya.
******************************

Tujh se koi gilla nahin hai

Tujh se koi gilla nahin hai
Qismat main meri silla nahin nahi
Bichar ke to na-janey kia haal ho
Jo shakhs abhi milla nahi hai
Jeeney ki to aarzu hi kab thi
Marney ka bhi hosla nahin hai
Jo zeest ko mu-tabir bana dey
Aesa koi silsila nahin hai
Khushboo ka hisaab ho chuka
Aur phool abhi khilla nahi hai
Sershaari-e-rehbari main dekha
Peechy mera qafilla nahin hai
Ek thais pe dil ka phoot behna
Chooney mein to aabla nahi hai
******************************

Puuraa dukh aur aadhaa chaaNd

Puuraa dukh aur aadhaa chaaNd
hijr kii shab aur aisaa chaaNd

(hijr=separation; shab=night)

itane ghane baadal ke piichhe
kitanaa tanhaa hogaa chaaNd

(tanhaa=lonely)

merii karavaT par jaag uThe
niind kaa kitanaa kachchaa chaaNd

seharaa seharaa bhaTak rahaa hai
apane ishq men sachchaa chaaNd

(seharaa=desert)

raat ke shaayad ek baje hain
sotaa hogaa meraa chaaNd
******************************

Kamaal-e-zabt ko Khud bhii to aazamaa_uuNgii

Kamaal-e-zabt ko Khud bhii to aazamaa_uuNgii
main apane haath se us kii dulhan sajaa_uuNgii

supurd kar ke use chaaNdanii ke haathon
main apane ghar ke aNdheron ko lauT aa_uuNgii

badan ke karb ko vo bhii samajh na paayegaa
main dil men rouuNgii aaNkhon men muskuraa_uuNgii

vo kyaa gayaa ke rafaaqat ke saare lutf gaye
main kis se ruuTh sakuuNgii kise manaa_uuNgii

vo ik rishtaa-e-benaam bhii nahiin lekin
main ab bhii us ke ishaaron pe sar jhukaa_uuNgii

bichhaa diyaa thaa gulaabon ke saath apanaa vajuud
vo so ke uThe to Khvaabon kii raakh uThaa_uuNgii

ab us kaa fan to kisii aur se manasuub huaa
main kis kii nazm akele men gun_gunaa_uuNgii

(manasuub=attached)

javaz DhuuNDh rahaa thaa na_ii muhabbat kaa
vo kah rahaa thaa ke main us ko bhuul jaa_uuNgii

(javaz=reason)

sama'aton men ghane jangalon kii saaNsen hain
main ab kabhii terii aavaaz sun na paa_uuNgii
******************************

Rukane kaa samay guzar gayaa hai

Rukane kaa samay guzar gayaa hai
jaanaa teraa ab Thahar gayaa hai

ruKhsat kii ghaDii khaDii hai sar par
dil ko_ii do-niim kar gayaa hai

maatam kii fazaa hai shahar-e-dil men
mujh men ko_ii shaKhs mar gayaa hai

bujhane ko hai phir se chashm-e-nargis
phir Khvaab-e-sabaa bikhar gayaa hai

bas ik nigaah kii thii us ne
saaraa cheharaa nikhar gayaa hai
******************************

sabz maddham roshanii men surKh aaNchal kii dhanak



sabz maddham roshanii men surKh aaNchal kii dhanak
sard kamare men machalatii garm saaNson kii mahak

baazuuon ke sakht halqe men ko_ii naazuk badan
silvaTen malabuus par aaNchal bhii kuchh Dhalakaa huaa

garmii-e-ruKhsaar se dahakii hu_ii ThaanDii havaa
narm zulfon se mulaayam uNgaliyon kii chheD chhaaD

surKh honThon par sharaarat ke kisii lamhen kaa aks
reshamii baahon men chuuDii kii kabhii maddham dhanak

sharmagiin lahajon men dhiire se kabhii chaahat kii baat
do dilon kii dhaDakanon men guuNjatii thii ek sadaa

kaaNpate honThon pe thii allaah se sirf ek duaa
kaash ye lamhe Thahar jaayen Thahar jaayen zaraa
******************************

sundar komal sapanon kii baaraat guzar ga_ii jaanaaN

sundar komal sapanon kii baaraat guzar ga_ii jaanaaN
dhuup aaNkhon tak aa pahuNchii hai raat guzar ga_ii jaanaaN

(komal=soft)

bhor samay tak jis ne hamen baaham ulajhaaye rakhaa
vo albelii resham jaisii baat guzar ga_ii jaanaaN

(baaham=with each other)

sadaa kii dekhii raat hamen is baar milii to chup ke se
Khaalii haath pe rakh ke kyaa sauGaat guzar ga_ii jaanaaN

kis konpal kii aas men ab tak vaise hii sar-sabz ho tum
ab to dhuup kaa mausam hai barasaat guzar ga_ii jaanaaN

log na jaane kin raaton kii muuraaden maaNgaa karate hain
apanii raat to vo jo tere saath guzar ga_ii jaanaaN
******************************

vo to Khushbuu hai havaaon men bikhar jaayegaa


vo to Khushbuu hai havaaon men bikhar jaayegaa
masalaa phuul ka hai phuul kidhar jaayegaa


ham to samajhe the ke ek zaKhm hai bhar jaayegaa
kyaa Khabar thii ke rag-e-jaaN men utar jaayegaa

vo havaaon kii tarah Khaanaa_bajaaN phirataa ha
iek jhonkaa hai jo aayegaa guzar jaayegaa

vo jab aayegaa to phir us kii rafaaqat ke liye
mausam-e-gul mere aaNgan men Thahar jaayegaaaa

Khirash vo bhii kahiin ret pe baiThii hogii
teraa ye pyaar bhii dariyaa hai utar jaayegaa
******************************

Ab bhalaa chhoR ke ghar kyaa karte

ab bhalaa chhoR ke ghar kyaa karte
shaam ke vaqt safar kyaa karte
terii masruufiyateN jaante the
apne aane kii Khabar kyaa karte
(masruufiyateN : engagements)
jab sitaare hii nahiiN mil paaye
le ke ham shams-o-qamar kyaa karte
(shams-o-qamar : Sun and the Moon)
vo musaafir hii khulii dhuup kaa thaa
saaye phailaa ke shajar kyaa karte
(shajar : tree)
Khaak hii avval-o-aaKhir thahrii
kar (?) ke zarre ko gauhar kyaa karte
(Khaak : dust; avval-o-aaKhir : in the beginning and the end; zarre : particles; gauhar : jewels)
raaye pehle se hii banaa lii tuune
dil meN ab ham tere ghar kyaa karte
ishq ne saare saliiqe bakhshe
husn se kasb-e-hunar kyaa karte
(saliiqe : etiquettes; kasb-e-hunar : ?)

Habib Jalib's Ghazals

Habib Jalib
==*==KHATRAY MEIN PAKISTAN NAHI==*==
khatra hai zar daron ko,
girti hui diwaron ko,
khatray mein pakistan nahi,
KHATRAY MEIN PAKISTAN NAHI,
rang barangi karon ko,
amrika kay pyaron ko,
KHATRAY MEIN PAKISTAN NAHI,
khatra hai bat maron ko ,
magrib kay bazaron ko,
chorron ko makkaron ko,
KHATRE MEIN PAKISTAN NAHI,
khatra hai darbaron ko,
zardaron ke gham kharon ko,
nawabon ko , ghadaron ko,
KHATRE MEIN PAKISTAN NAHI

----------**********----------

==*Ye or Baat Teri Gali Main Na Aen Hum*==

Ye or Baat Teri Gali Main Na Aen Hum
Lekin Ye Kya,K Shehr Tera Chor Jaen Hum

Mudat Hui Hai Kou'e'Butan Ki Taraf Gae
Aawargi Se Dil Ko Kahan Tak Bachain Hum

Shayad Baqeet'e'Zeest Ye Sa'at Na A Sake
Tum Dastaan'e'Shouq Suno Aur Sunaen Hum

Be-Noor Ho Chuki Hai Buhut Shehr Ki Fiza
Tareek Raston Main Kahein Khoo Na Jaen Hum


Ab Aur Kia Kisi Se Marasim Barhain Hum
Yehi Buhut He Tujh Ko Agar Bhool Jaen Hum

Sehra-E-Zindagi Main Koi Dosra Na Tha
Sunte Rahe Hain Aap Hi Apni Sadaen Hum

Is Zindagi Main Itni Faraght Kise Naseeb
Itna Na Yaad Aa Ke Tujhe Bhool Jaen Hum

Aaj Uske Baghair Ab To Buhut Jee Udass He
JALIB Chalo Kahin Se Use Dhoond Lain Hum


----------**********----------

==*Pakistan ka matlab kya*==

Roti, kapda aur dawa
Ghar rehne ko chhota sa
Muft mujhe talim dila
Mein bhi Musalmaan hoon wallah
Pakistan ka matlab kya
La Ilaha Illalah…

Amrika se mang na bhik
Mat kar logon ki tazhik
Rok na janhoori tehrik
Chhod na azadi ki rah
Pakistan ka matlab hai kya
La Ilaha Illalah…

Khet waderon se le lo
Milen luteron se le lo
Mulk andheron se le lo
Rahe na koi Alijah
Pakistan ka matlab kya
La Ilaha Illalah…

Sarhad, Sindh, Baluchistan
Teenon hain Panjab ki jaan
Aur Bangal hai sab ki aan
Aai na un ke lab par aah
Pakistan ka matlab kya
La Ilaha Illalah…

Baat yehi hai bunyadi
Ghasib ki ho barbadi
Haq kehte hain haq agah
Pakistan ka matlab kya
La Ilaha Illalah…


----------**********----------

==*Bahut mein ne suni hai aap ki taqreer Maulana*==

Bahut mein ne suni hai aap ki taqreer Maulana
Magar badli nahin ab tak meri taqdeer Maulana

Khudara Shukr ki talqeen apne pass hi rakhen
Yeh lagti hai mere seene pe ban kar teeer Maulana

Nahin mein bol sakta jhut is darja dhitai se
Yehi hai jurm mera aur yehi taqsir Maulana

Haqeeqat ka kya hai, yeh to aap jaanen ya Khuda jane
Suna hai Jimmi Carter hai aap ka peer Maulana

Zameenen hon waderon ki, mashinen hon luteron ki
Khuda ne likh ke di hai yeh tumhen terhrir Maulana

Karodon kyon nahin mil kar Falastin ke liye ladte
Dua hi se faqat kat-ti nahin zanjir Maulana


----------**********----------

==*Pakistan bhi mera hai*==

Hindustan bhi mera hai aur Pakistan bhi mera hai
Lekin in donon mulkon mein Amrika dera hai



Aid ki gandam kha kar ham ne kitney dhokey khai hain
Poochh na hamne Amrika ke kitne naaz uthai hain
Phir bhi ab tak wadi-e gul ko sangeenon ne ghera hai
Hindustan bhi mera hai aur Pakistan bhi mera hai

Khan Bahadur chhodna hoga ab to saath Angrezon ka
Ta bah gareban aa pahuncha hai phir se hath Angrezon ka
Macmilan tera na hua to Kenedy kab tera hai
Hindustan bhi mera hai aur Pakistan bhi mera hai

Yeh dharti hai asal mein, pyare, mazdooron dahqanon ki
Is dharti par chal na sakegi marzi chand gharanon ki
Zulm ki rat rahegi kab tak ab nazdik savera hai
Hindustan bhi mera hai aur Pakistan bhi mera hai

----------**********----------


==*Bachchon pe chali goli*==
Bachchon pe chali goli
Maan dekh ke yeh boli
Yeh dil ke mere tukde
Yun royen mere hote
Mein dur khadi dekhoon
Yeh mujh se nahin hoga
Mein Dur khadi dekhun
Aur ahl-e sitam khelen
Khun se mere bachchon ke
Din-raat yahan holi
Bachchon pe chali goli
Maan dekh ke yeh boli
Yeh dil ke mere tukde
Yun royen mere hote
Mein dur khadi dekhun
Yeh mujh se nahin hoga
Meidan mein nikal aayi
Ek barq si lehrai
Har dast-e sitam kanpa
Bandooq bhi tharrai
Har simt sada gunji
Mein aati hun, mein aayee
Mein aati hun, mein aayee
Har zulm hua batil
Aur seham gaye qatil
Jab us ne zaban kholi
Bachchon pe chali goli
Us ne kaha khun-khwaro!
Daulat ke parastaro
Dharti hai yeh ham sab ki
Is dharti ko naa-dano!
Angrezon ke darbano!
Sahab ki ata-kardah
Jagir na tum jano
Is zulm se baaz aao
Bairak mein chale jao
Kyon chand luteron ki
Phirte ho liye toli
Bachchon pe chali goli

----------**********----------

Haryali ko aankhen tarsen bagiya lahoo luhan
Pyar ke geet sunaoon kis ko shehar hue weeran
Bagiya lahoo luhan
Dasti hain suraj ki kirnen chand jalaye jaan
Pag pag maut ke gehre saye jeewan maut saman
Charon ore hawa phirti hai le kar teer Kaman
Bagiya lahoo luhan
Chhalni hain kaliyon ke seeney khoon mein lat paat
Aur nahjaney kab tak hogi ashkon ki barsaat
Dunya walon kab beeteinge dukh ke yeh din raat
Khoon se holi khel rahe hain dharti ke balwan
Bagiya lahoo luhan

----------**********----------
==*Khuda hamara hai*==

Khuda tumhara nahi hai khuda hamara hai
Use zamin pe yeh zulm kab gawara hai
Lahoo piyoge kahan tak hamara dhanwano
Badhao apni dukan seem-o zar ke deewano
Nishan kahin na rahega tumhara shaitano
Hamein yaqeen hai ke insaan usko pyara hai
Khuda tumhara nahin hai khuda hamara hai
Use zameen pe yeh zulm kab gaawara hai
Nai shaoor ki hai roshni nigahon mein
Ek aag si bhi hai ab apni sard aahon mein
Khilenge phool nazar ke sahar ki bahon mein
Dukhe dilon ko isi aas ka sahara hai
Khuda tumhara nahin hai khuda hamara hai
Use zameen pe yeh zulm kab gawara hai
Tilism-e sayah-e khauf-o hiras todenge
Qadam bandhayenge zanjeere-e yaas todenge
Kabhi kisi ke na ham dil ki aas todenge
Rahega yaad jo ehd-e sitam guzara hai
Use zamin pe yeh zulm kab gawara hai

----------**********----------

==*Yah Dais Hai Andhay Logoon Ka*==

Yah Dais Hai Andhay Logoon Ka
Aye Chaand Yahan Na Nikla Ker..

Bay-Naam Say Sapnay Daikha Ker
Aye Dil Her Ja Na Phisla Ker
Yah Dais Hai Andhay Logoon Ka
Aye Chaand Yahan Na Nikla Ker


Na Dartay Hain Na Naa-dim Hain
Na Maanain K woh Khaadim Hain
Yahan Ulti Ganga Behti Hai
Is Dais Main Andhay Haakim Hain


Yah Raqam Saray Likhtay Hain
Qawneen Yahan Na Tiktay Hain
Hai Yahan Per Karoobaar Bohat
Is Dais Main Gurday Biktay Hain


Yahan DOLLAR DOLLAR Hoti Hai
Or G.D.P Kasootti Hai
Kuch Loog Hain Aali Shaan Bohat
or Kuch Ka Nuqsaan Rootti Hai

Umeed Ko Lay Ker Parhtay Hain
Phir Degree Lay ker Phirtay Hain
Jab JOB Na Un Ke Milti Hai
Phir Khud-kush Hamlay Kartay Hain

Woh Kehtay Hain Sab Acha Hai
Or Fooj Ka Raaj Sacha Hai
Khoota Gaari Wala Kyun Yah Manay
Jab Bhooka Us Ka Bacha Hai

Yah Dais Hai Andhay Logoon Ka
Aye Chaand Yahan Na Nikla Ker...!!!

----------**********----------

Ghazals of Mohsin

Bharakain meri pias ko aksar teri aankhen
Bharakain meri pias ko aksar teri aankhen
Sehra mera chehra samandar teri aankhen

Phir bhala kon unhen daad-e-tabassum de ga
Royen gi bahut mujh se bichar ker teri aankhen

Bojhal nazar aati hain bazahir mujhe laken
Khilti hain bahut dil mein utar ker teri aankhen

Ab tak meri yaadon se mitaye nahi mit-ta
Bheegi hoi ek shaam ka manzar teri aankhen

Mumkin ho tu ek taza ghazal aur bhi keh lon
Phir oorh na lein khawab ki chadar teri aankhen

Yoon dekhte rehna usey acha nahi Mohsin
wo kanch ka paikar hai tu pathat teri aankhen




Firaq-e-Yaar Ki Baarish Malaal Ka Mousam

Firaq-e-Yaar ki Barish ,Malaal ka Mousam
Hamare Sheher mai Utra Kamaal ka Mousam


Wo ik Dua Meri Jo Namuraad Loat Ayi Meri
Zaban Se Rooth Gaya Phir Sawaal Ka Mosam


Bohat Dinon Se mere Zehen Key Darichon Mai
Theher gaya Hai Tmhare Khayal ka Mousam


Jo be-Yaqeen ho Baharein ujar Bhi Sakti Hain
tu Aa k Dekh ley mere Zawaal ka Mousam


Mohabtein Bhi teri Dhoop Chaon Jesi Hain
Kabi yeh Hijar Kabi yeh Wasaal ka mosam


Koi Mila He NAi jis ko Soonpte Mohsin
Hum Apne Khawab ki khushbooKhyaal ka Mosam

Us ne jab jab bhi mujhe dil se pukara Mohsin
Us ne jab jab bhi mujhe dil se pukara Mohsin
Main ne tab tab ye bataya ke tumhara Mohsin

Log sadiyon ki khataon pe bhi khush baste hain
Hum ko lamhon ki wafaon ne ujara Mohsin

Jab aa gaya ho ye yaqin ab woh nahi aaye ga
Gham aur anso ne dia sahara Mohsin

Woh tha jab pas to jeney ko bhi dil karta tha
Ab to pal bhar bhi nahi hota guzara Mohsin

Us ko pana to muqadar ki lakeron mein nahi
Us ka khona bhi karen kesey gawara Mohsin..

Wo Dilawar Jo Siah Shab K Shikari Nikle
Wo dilawar jo siah shab k shikari nikle
Wo b charhte hue sooraj k poojari nikle

Sab K hontoon pe mere baad hain batein meri
Mere dushman mere lafzon k bhikari nikle

Ik janaza utha maqtal se ajab shaan k sath
Jese saj kar kisi fateh ki sawari nikle

Behte ashkon se shuaoon ki sabelein photen
Chubhte zakhmon se fan-e-naqsh nigari nikle

Hum ko har doar ki gardish ne salami di hai
Hum wo pathar hain jo har doar main bhari nikle

Aks koi ho khad-o-khaal tumhare dekhon
Bazm koi ho magar baat tumhari nikle

Apne Dushman se main be-waja khafa tha SHANI
Mere qatil to mere apne hawari nikle

Chehra koi b Aankh mein thehra na phir kabhi
Chehra koi b Aankh mein thehra na phir kabhi...
Dil ne kisi b shakhs ko chaha na phir kabhi..

Rootha zra si baat pe uth kr chala gaya..
Aysa gaya k laut k Aaya na phir kabhi..

Kuch youn mila Tpaak se bus ishq ho gaya..
Woh ajnabi tha kon tha' socha na phir kabhi..

Us ne Btaur tohfa diya tha Libas-e-hijr !!!
Pehna jo 1 baar' utaara na phir kabhi...

Mohsin !.. Guzr chuka tha had-e-aitdaal se
Jany kahan gaya' usay dekha na phir kabhi.

Hum se tas'kher muqadar k sitare na hue
Hum se tas'kher muqadar k sitare na hue
Zindagi ap the or Ap hamaray na hue

Phir btao k bhala kis pe sitam dhao ge?
Shehr-e-Ulfat main agar dard k maray na hue

Sach to ye hai k bina us k guzara jeewan
Ye b such hai k bina us k guzare na hue

Is liye apna milan ho b nahi sakta tha
Ik darya k kabhi dono kinare na hue

Toot jate hain sabhi pyaar k rishte "Mohsin"
Kache dhage to kisi k bhi sahare na hue

Mohabbat ka Bharam Hota to Phir kuch Soch kr Jatay

Mohabbat ka Bharam Hota to Phir kuch Soch kr Jatay,
Warna Zindagi Ban k Mere Hamdam Guzar Jatay,

Thakay Haaray Prindon Ko Jo Dekha to Khayal Aaya,
Koi Jo Muntazir Hota To Hum Bhi Apny Ghar Jatay,

Main Kha K Dard ki Thokar abhi tak Hosla Mand hoon,
Ye Thokar Jo Tumhen Lagti To Tum khud Bhi Bikhar Jatay,

Is Tanhai Ka Hum Pe Bara Ehsan Hai "Mohsin"
Na Deti Saath Ye Apna To Janay Hum Kidhar Jatay..

Wasi Shah Poetry

Wasi Shah
==*==Ab to mumkin he nahi un se mulaqat Wasi==*==

Ab to mumkin he nahi un se mulaqat Wasi

Ab to urooj pe pohunchi hai us ki zaat Wasi




wohi waady hain aur rasmon ki zanjeerein baqi

Kab badalti hain zamaney ki riwayaat Wasi




Ek wo din thy ke ek doosrey ko sochtey thy hum


Ab miltey nahi dono ke khayalaat Wasi

----------**********----------

==*==Hijar ka tara doob raha hai, dhalne lagi hai raat WASI==*==

Hijar ka tara doob raha hai, dhalne lagi hai raat WASI
katra katra baras rahi hai ashkon ki barsaat WASI

tere baad ye duniya wale mujhko pagal kar dein ge
khushbu k dais mein le chal mujhko saath WASI

yun hi chup ki muhar laga kar kab tak gumsum baitho ge ?
kkhamoshi se dam ghut-ta hai, chero koi baat Wasi

aaj to usska chehra b kuch badla badla lagta hai
mausam badla duniya badli badal gaye halaat WASI

mere ghar khushboo ka ye raqs ussi k dam se hai
uss k saath chali jaye gi phoolon ki barsaat WASI

chor WASI ab usski yaadien tujhko pagal kar dein gi
tu qatra hai wo darya hai dekh apni aukaat WASI

----------**********----------

==*==Dayar-E-Ghair Mein Kaise Tujhe Sada Dete==*==

Dayar-E-Ghair Mein Kaise Tujhe Sada Dete
Tu Mil Bhi Jata To Tujhe Ganwa Dete

Tumhin Ne Ham Ko Sunaya Na Apna Dukh Warna
Dua Wo Karte K Ham Asman Hila Dete

Hamein Ye Zom Raha Ab K Wo Pukarenge
Unhen Ye Zid Thi K Har Bar Ham Sada Dete

Wo Tera Gham Tha K Tasir Mere Lahje Ki
K Jis Ko Hal Sunate Use Rula Dete

Tumhen Bhulna Hi Awwal To Dastaras Mein Nahin
Jo Ikhtiyar Bhi Hota To Kya Bhula Dete

Tumhari Yad Ne Koi Jawab Hi Na Diya
Mere Khayal K Ansu Rahe Sada Dete

Samton Ko Main Ta-Umar Kosta Syed
Wo Kuch Na Kahte Magar Honth To Hila Dete


----------**********----------

==*==Apne Ehsaas se chukar mujhe Sandal kardo==*==

Apne Ehsaas se chukar mujhe Sandal kardo,
mai ke hun sadyyon se adhura mukammal kardo,

Na tumhe Hosh rahe na mujhe Hosh rahe,
is Qadar toot ke chaho mujhe Paagal kardo,

tum Hatheli ko apni mere pyar ki Mehndi ye rango,
apni Ankhonn mai mere pyar ka Kajol kardo,

Dhoop hi Dhoop hun mai toot ke barso mujh par,
mai to Sehry hun mujhe Pyar ka Baadal kardo,

iske Sayye se mere Khaywaab Mehak uthenge,
mere Chehre pe Umeed Bhara anchal kardo,

apne hontoon ki koi Mohar lagao mujh par,
ik Nazar pyar se dekho mujhe Ghayal kardo

----------**********----------

==*==Ankhon Se Meri Iss Liye Lali Nahi Jati..==*==

Ankhon Se Meri Iss Liye Lali Nahi Jati..
Yadoon Se Koi Raat Jo Khali Nahi Jati..

Ab Umar' Na Mosam' Na Woh Rasty Keh Palat-Tay..
Iss Dil Ki Magar Kham Khiyali Nahe Jati..

Aya Koi Aaker Ya Tere Dard Sambhaley..
Hum Sai To Yeh Jageer Sambhali Nahi Jati..

Malum Humay Bhe Haan Bohat Se Tery Qisay..
Har Baat Teri Hum Sai Uchali Nahe Jati..

Humrah Tere Phool Khilati Thii' Jo Dil Mein..
Abb Sham Woh Dard Se Khali Nahe Jati..

Hum Jaan Sai Jayan Ge Tabhi Baat Banay Gi..
Tum Se Tou Koi Rah Nikali Nahi Jati..

----------**********----------

==*==Mein hoon tera khayal hai aur chaand raat hai==*==

mein hoon tera khayal hai aur chaand raat hai...
dil dard se nidhaal hai aur chaand raat hai...

aankhon mein chubh gayein teri yaadon ki kirchiyan...
kandhon pe gham ki shaal hai aur chaand raat hai...

dil tor ke khamosh nazaron ko kiya mila...
shabnam ka ye sawal hai aur chaand raat hai...

phir titliyan si urne lagein dasht-e-khuwaab mein...
phir khuwahish-e-wisaal hai aur chaand raat hai...

campus ki nehar per hai tere haath haath mein...
mausam bhi lazawal hai aur chaand raat hai...

har aik kali ne orh liya matami libaas...
har phool per malaal hai aur chaand raat hai...

meri to por por mein khush si bas gayi...
us per tera khayal hai aur chaand raat hai...

chalka sa par raha hai 'wasi' wehshaton ka rang...
har cheez pe zawwal hai aur chaand raat hai..


----------**********----------

==*==Kash main teray haseen hath ka kangan hota==*==

kash main teray haseen hath ka kangan hota

tu baray piyar say chao say baray man kay sath

apni nazuk see kalaee main charhaty mujh ko

aor betaby say furqat kay khiza lamhon main

tu kisee soch main doby jo ghumaty mujh ko

main teray hath ki khushbu say mehak sa jata

jab kabhi mood main akar mujhay chuma karty

teray honton ki main hiddat say dehak sa jata

rat ko jab bhi tu nindh kay safar pay jaty

marmarin hath ka eik takiya banaya karty

main teray kan say lag kar kaii batain karta

tery zulfon ko teray gal ko chumaa karta

mujh ko betab sa rakhta tery chahat ka nasha

main tery roh kay gulshan main mehakta rehta

main teray jism kay angan main khanakta rehta

kuch nahin tu yehi benam sa bandhan hota

kash main teray hansee hath ka kangan hota


----------**********----------

==*== Chand Jalta Raha ==*==

Meri Aankhon Mein Aansoo Pighalta Raha ,Chand Jalta Raha
Teri Yaadon Ka Sooraj Nikalta Raha , Chand Jalta Raha

Koi Bistar Pay Shabnam Lapaitay Hoay Khawab Dekhta Raha
Koi Yaadon Mein Karwat Badalta Raha, Chand Jalta Raha

Meri Aankhon Mein Sab Saatein Jaagti Hein Abhi
Nehr Pay Tu Mein Saath Chalta Raha,Chand Jalta Raha

Mein Tau Yeh Jaanta Houn Jis Shab Tum Mujhay Chorr Kar Gaey
Aasman Say Shaula Nikalta Raha ,Chand Jalta Raha

Raat Aai Tau Kia Kia Tamashay Hoay,Tumhein Maaloom Hay
Teri Yaadon Ka Sooraj Ubalta Raha,Chand Jalta Raha

Raat Bhar Meri Palkon Ki Dehleez Par Khawab Girtay Rahay
Dil Tarrapta Raha,Haath Malta Raha,Chand Jalta Raha

Yeh December Kay Jis Mein Karri Dhoop Bhi Meethi Lagnay Lagay
Tum NahinTau December Sulagta Raha,Chand Jalta Raha

Aaj Bhi Woh Taqadas Bhari Raat Mehki Hoi Hay Wasi
Mein Kisi Mein,Koi Mujh Mein Dhalta Raha,Chand Jalta Raha

----------**********----------

==*==Ye Jo Chehre Se Tumhe Lagte Hain Beemar Se Hum==*==

ye jo chehre se tumhen lagte hain beemar se hum
khob  roye  hain  lipat  kar  dar-o-deewar se  hum

yar  ki  aankh  main  nafrat  ne  hamain  qatl  kiya
kon  kehta  hai  kate  yar  ki  talwaar  se  hum

ranj  har  rang  k  jholi  main  bhare  hain  hum ne
 jab bhi guzre  hain  kisi  dard  k  bazaar  se  hum

ishq  main  hukm  adooli  bhi  hamain  ati   hai
talne  wale  to  nahi  hain  tere  inkaar   se  hum

----------**********----------

==*==Kash Main Teray Haseen Hath Ka Kangan Hota==*==

Kash Main Teray Haseen Hath Ka Kangan Hota
Tu Baray Pyaar Say, Chao Say , Baray Maan Kay Sath
Apni Nazuk Se Kalaee Main Charhate Mujh Ko
Or Bay Tabi Say Fursat Kay Khezaan Lamhoon Main
Tu Kese Soch Main Doobi Jo Ghumate Mujh Ko
Teray Hath Ke Khushboo Say Mahak Sa Jata
Jab Kabhi Mood Main Aakar Mujhay Choma Karte
Teray Hontoon Ke Main Hiddat Say Dehak Sa Jata
Raat Ko Jab Bhi Tu Nindoon Kay Safer Per Jate
Marmareen Hath Ka Ak Takya Banaya Karte
Main Teray Kaan Say Lag Kar Kaee Bateen Karta
Teri Zulfoon Ko Teray Galoon Ko Choma Karta
Jab Bhi Tu Band Quba Kholnay Lagte Jana
Apni Aankhoon Ko Teray Husan Say Khaira Karta
Mujh Ko Bay Taab Sa Rakhta Teri Chahat Ka Nasha
Main Tere Rooh Kay Gulshan Main Mhakta Rahta
Main Teray Jsam Kay Aangan Main Khanakta Rahta
Kuch Nahi Tu Yahi Bay Naam Sa Bandhan Hota
Kash Main Teray Haseen Hath Ka Kangan Hota

----------**********----------

Mirza Ghalib's poetry

Ghalib Mirza Asadullah Khan

aah ko chaahiye ik umr asar hone tak

aah ko chaahiye ik umr asar hone tak
kaun jiitaa hai terii zulf ke sar hone tak

daam har mauj me.n hai halqaa-e-sad_kaam-e-nahang
dekhe.n kyaa guzare hai qatare pe gauhar hone tak

aashiqii sabr-talab aur tamannaa betaab
dil kaa kyaa rang karuu.N Khuun-e-jigar hone tak


ham ne maanaa ke taGaaful na karoge lekin
Khaak ho jaaye.nge ham tum ko Khabar hone tak


partav-e-Khuur se hai shabanam ko fanaa kii taaliim
mai.n bhii huu.N ek inaayat kii nazar hone tak


yak_nazar besh nahii.n fursat-e-hastii Gaafil
garmii-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak


Gam-e-hastii kaa 'Asad' kis se ho juz marg ilaaj
shammaa har rang me.n jalatii hai sahar hone tak
baaziichaa-e-atfaal hai duniyaa mere aage


baaziichaa-e-atfaal hai duniyaa mere aage
hotaa hai shab-o-roz tamaashaa mere aage

ik khel hai aurang-e-sulemaaN mere nazadiik
ik baat hai ejaaz-e-masiihaa mere aage

juz naam nahiin suurat-e-aalam mujhe manzuur
juz vaham nahiin hastii-e-ashiyaa mere aage

hotaa hai nihaaN gard me.n seharaa mere hote
ghisataa hai jabii.n Khaak pe dariyaa mere aage
mat puuchh ke kyaa haal hai meraa tere piichhe
tuu dekh ke kyaa rang hai teraa mere aage

sach kahate ho Khud_biin-o-Khud_aaraa huu.N na kyoN huuN
baiThaa hai but-e-aa_iinaa siimaa mere aage

phir dekhiye andaaz-e-gul_afshaanii-e-guftaar
rakh de ko_ii paimaanaa-e-sahabaa mere aage
nafrat ka gumaaN guzare hai main rashk se guzaraa
kyoN kar kahuuN lo naam naa us kaa mere aage
imaaN mujhe roke hai jo khiinche hai mujhe kufr
kaabaa mere piichhe hai kaliisaa mere aage

aashiq huuN pe maashuuq_farebii hai mera kaam
majanuuN ko buraa kahatii hai lailaa mere aage

Khush hote hain par vasl men yuuN mar nahiin jaate
aa_ii shab-e-hijaraaN kii tamannaa mere aage

hai mauj_zan ik qulzum-e-KhuuN kaash! yahii ho
aataa hai abhii dekhiye kyaa-kyaa mere aage

go haath ko jumbish nahii.n aa.Nkho.n me.n to dam hai
rahane do abhii saaGar-o-miinaa mere aage

ham_peshaa-o-ham_masharab-o-ham_raaz hai meraa
'Ghalib' ko buraa kyoN kaho achchhaa mere aage
dil-e-naadaaN tujhe hu’aa kyaa hai
dil-e-naadaaN tujhe hu’aa kyaa hai
aaKhir is dard kii davaa kyaa hai
ham haiN mushtaaq aur vo bezaar
yaa ilaahii ! ye maajraa kyaa hai
ham bhii muuNh meN zabaan rakhate huuN
kaash puuchho ke mudda’a kyaa hai
jab ki tujh bin nahiiN ko’ii maujuud
phir ye hangaamaa ai Khudaa kyaa hai
ye parii-cheharaa log kaise haiN
Ghamzaa-o-ishvaa-o-adaa kyaa hai
shikan-e-zulf-e-ambarii kyoN hai
nigah-e-chashm-e-suurmaa saa kyaa hai
sabzaa-o-gul kahaaN se aaye haiN
abr kyaa chiiz hai havaa kyaa hai
hamko unse vafaa kii hai ummiid
jo nahiiN jaante vafaa kyaa hai
haaN bhalaa kar teraa bhalaa hogaa
aur darvesh kii sadaa kyaa hai
jaan tum par nisaar kartaa huuN
maiN nahiiN jaantaa du’aa kyaa hai
ham ne maanaa ke kuchh nahiiN “Ghalib”
muft haath aaye to buraa kyaa hai
kii vafaa hamase to Gair use jafaa kahate hain
kii vafaa hamase to Gair use jafaa kahate hain
hotii aa_ii hai ke achchho.n ko buraa kahate hain
aaj ham apanii pareshaanii-e-Khaatir un se
kahane jaate to hain, par dekhiye kyaa kahate hain
agale vaqto.n ke hai.n ye log, i.nhe.n kuchh na kaho
jo may-o-naGmen ko andoharuubaa kahate hain
dil men aa jaa_e hai, hotii hai jo fursat Gash se
aur phir kaun se naale ko rasaa kahate hain?
hai par-e-sarahad-e-idaraak se apanaa masjuud
qible ko, ahal-e-nazar, qiblaanumaa kahate hain
paa-e-afagaar pe jab se tujhe raham aayaa hai
Khaar-e-raah ko tere ham mehr-e-giyaa kahate hain
ik sharar dil men hai, us se ko_ii ghabaraayegaa kyaa
aag mataluub hai hamako, jo havaa kahate hain
dekhiye laatii hai us shoKh kii naKhvat kyaa rang
us kii har baat pe ham naam-e-Khudaa kahate hain
vahashat-o-sheftaa ab marsiyaa kahave.n shaayad
mar gayaa "Ghalib"-e-aashuftaanavaa kahate hain

rone se aur ishq me.n bebaak ho gae

rone se aur ishq me.n bebaak ho gae
dhoe gae ham aise ki bas paak ho gae
sarf-e-bahaa-e-mai hue aalaat-e-maikashii
the ye hii do hisaab so yon paak ho gae
rusavaa-e-dahar go hue aavaargii se tum
baare tabiiyaton ke to chaalaak ho gae
kahataa hai kaun naalaa-e-bul_bul ko beasar
parde men gul ke laakh jigar chaak ho gae
puuchhe hai kyaa vajuud-o-adam ahl-e-shauq kaa
aap apanii aag se Khas-o-Khaashaak ho gae
karane gaye the us se taGaaful kaa ham gilaa
kii ek hii nigaah ki bas Khaak ho gae
is rang se uThaaii kal us ne 'Asad' kii naash
dushman bhii jis ko dekh ke Gam_naak ho gae

Faraz Ahmad Faraz Urdu Poetry

Poetry of Ahmed Faraz

Kissi Se Juda Hona Agar Itna Asan Hota "FARAZ"
Jism Se Rooh Ko Lenay Kabhi Farishtay Na Atayyyy.....!!!
Poetry of Ahmed Faraz
Tu kisi aur ke liye hoga samander-e-ishq faraz
hum to rooz tery sahil se piyase guzar jaty hain..
Poetry of Ahmed Faraz
hum un say millay to khuch keh na sakay

"faraz"

khushi itni they k mulaqat ansoo ponchtay he guzar gai



Poetry of Ahmad Faraz

us ne sukuut-e-shab main bhii apanaa payaam rakh diyaa

hijr kii raat baam par maah-e-tamaam rakh diyaa

aamad-e-dost kii naviid kuu-e-vafaa main aam thii

main ne bhii ik chiraaG-saa dil sar-e-shaam rakh diyaa

dekho ye mere Khvaab the dekho ye mere zaKhm hain

main ne to sab hisaab-e-jaan barsar-e-aam rakh diyaa

us ne nazar nazar main hii aise bhale suKhan kahe

main ne to us ke paanon main saaraa kalaam rakh diyaa

shiddat-e-tishnagii main bhii Gairat-e-maikashii rahii

us ne jo pher lii nazar main ne bhii jaam rakh diya

aur 'Faraz' chaahiiye kitanii muhabbatain tujhe

ke maaon ne tere naam par bachchon ka naam rakh diyaa

Poetry of Ahmed Faraz

Kuch muhabat ka nasha tha pehle hm ko Faraz.
Dil jo tota to nashe se muhabat ho gai.


----------------------------------
Yeh wafa to un dinon ki baat hay "Fraaz"
Jab makaan kachy or log sachay hoa krty thy......
----------------------------------
Kon data ha umar bhar ka sahara aay Faraz....
LOG tu JANAZAY man bhi kandhay badaltay rahtay hein....
----------------------------------
"Kis ki Kya majal thi jo koi Hum ko kharid sakta",,,
Faraz,..
"Hum to khud hi Bik gaey kharidar dekh k"...
----------------------------------
'"Ham na badlein gay waqt ki raftaar kay sath,,,
'"Faraz"'
Ham jab b milen gay andaz purana hoga...'".
----------------------------------
"Tera Na Ho Saka To Mar Jaon Ga Faraz.
Kitna Khobsurat Wo Jhoot Bolta Tha".
----------------------------------
Wo Bewafa na tha youn hi badnaam ho gya,,,,
Faraz..,...
Hazaron chaheny waly thy kis kis say wafa karta......
-
---------------------------------
Hum pe faqat ilzaam k hum hain zuban daraz.......
hum ne to bus kaha tha hamain tum se piyar hai....!
----------------------------------
Zindagi to apnay hi Qadmon pe chalti hai Faraz..,
Auron k $aharay to Janazay utha kartay hain..!
-
---------------------------------
Yahee soch kar us ki har baat ko sach mana hay
"FARAZ"~
K itnay khubsoorat Lub jhoot kesay bolain gay..~
-
---------------------------------
Bari Mushkil se Sulaaya tha Khud Ko FARAZ Main ne Aaj...!
Apni Aaankon Ko Tare Khuwaab Ka Laalach Day Ker.....!
-
---------------------------------
Wo roz dekhta hai dubtay huay suraj ko faraz.
Kash mai b kisi shaam ka manzir hota....!
----------------------------------
Main us k Haathon me tha
Tute hue Sheeshe ki trha "Faraz",
Bari Umeed thi k bikhrne nhi dega.
Bus giraya kuch is Ada se k
Simatne ki Aaas hi na rahi
Meri pussundeeda poem

                                                                        

Bhale DinoN ki baat hai

Bhali see aik shakl thi 

Naa yeh ky husn-e-taam ho 

Naa dekhne mein 'Aam see 



Naa yeh  ky woh chale tu Keh-kashaan see rahguzar laghy

magar woh saath ho to phir bhala bhala safar lage



koi bhi rut ho us ki chchab

fiza ka rang-o-roop thi

woh garmiyon ki chchaaon thi

woh sardiyon ki Dhoop thi



na muddatoN judaa rahe

na saath subh-o-shaam ho

na rishta-e-wafa pe zid

na ye ki izn-e-'Aam ho



na aisi Khush libasiyaan

ki saadgi gila kare

na itni be takallufi

ki aaina haya kare



na ikhtilaat mein woh ram

ki bad-mazah hon Khwahishen

na is qadar supurdigi

ki zach karen nawazishen



na aashiqi junoon ki

ki zindagi 'azaab ho

na is qadar kaThor pan

ki dosti Kharaab ho



kabhi to baat bhi Khafi

kabhi sukoot bhi suKhan

kabhi to kasht-e-z'afraan

kabhi udaasiyoN ka ban



suna hai aik 'umr hai

mu'Amilaat-e-dil ki bhi

visaal-e-jaanfiza to kya

firaaq-e-jaangusal ki bhi



so aik roz kya hua

wafa pe bahas cherr gayi

main ishq ko amar kahoon

woh meri zid se chidh gayi



main ishq ka aseer tha

woh ishq ko qafas kahe

ki umr bhar ke saath ko

woh bad-taraz-hawas kahe



"shajar hajr nahin ki ham

hamesh pa ba gul rahen

na Dhor hain ki rassiyaan

gale main mustaqil rahain



mohabbatoN ki vus'Atain

hamare dst-o-pa mein hain

bas aik dar se nisbatein

sagaan-e-bawafa mein hain



main koi painting nahi

ki aik frame meiN rahoon

wahi jo man ka meet ho

usi ke praim meiN rahoon



tumhari soch jo bhi ho

main is mizaaj ki nahin

mujhe wafa se bair hai

ye baat aaj ki nahin"



na us ko mujh pe maan tha

na mujh ko us pe za'Am hi

jo 'ahad hi koi na hoi

to kya gham-e-shakistagi



so apna apna raasta

hansi Khushi badal diya

woh apni raah chal padi

main apni raah chal diya



bhali si aik shakl thi

bhali si us ki doosti

ab us ki yaad raat din

nahin, magar "kabhi kabhi"
 


Urdu Poetry Faraz Ahmad Faraz

Poetry Of Ahmed Faraz - Best Sad Romantic & Funny In Urdu And English

1. Maalal
Usay Bhi Apnay Kiye Ka Malaal Hona Hay~
Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hay
K ashq rokna tum se mohaal hona hay
Har aik lab pe hay meri wafa k afsanay
Tere sitaam ko abhi lazawal hona hay
Tumhain khabar hi nahin tum to loot jao gay
Tumharay hijar main ik lamha sal hona hay
Humari rooh pe jaab bhi azaab otrain hay
Tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hay
Kabhi to roye ga woh bhi kisi ki bahoon main
Kabhi to us ki hansi ko zawal hona hay
Milay gi hum ko bhi apne naseeb ki khushiyaan
Bas intizaar hay kab yeh kamal hona hay
Har aik shaks chalay ga humari rahoon per
Mohabatoon main humahin woh misaal hona hay
Zamana jis k kham-o-peech main olajh jaye
Humari zaat ko aisa sawal hona hay
" yaqeen hay mujh ko woh loot aye ga
Usay bhi apne kiye ka malal hona hay
Sad Poetry Of Ahmed Faraz
2. Ho Gayi Rukhsat
Hogayi rukhsat ghata baarish ke baad
Ek diya jalta raha baarish ke baad
Mere behte hue Aansuo ko dekh kar
Ro parri thandi hawa baarish ke baad
Meri tanhaayi ka daaman thaam kar
Kuch udaasi ne kaha baarish ke baad
Yaad teri odh kar mein so gayi
Khawaab ka daar khul gaya baarish ke baad
Chand dekh kar baadlo ki qaid mein
Ek sitaara ro diya baarish ke baad
Apne ghar ki har kachi deewaar par
Naam tera likh diya "K" baarish ke baad

Poetry Of Ahmed Faraz in Urdu

Hum jo toote to is tarah toote
jaise hathon se girr k pathar par
koi shafaaf aaiina toote
jaise palkon se toot tha aansoo
jaise seene main ik kamaan toote
jaise umeed ki nazuk daali
barg mosam main na gahaan toote
jaise aankhon main khwab ki doori
waqt e takmeel se ulajh jaye
jaise pairon tale zameen nikle
jaise sar par yeh asmaan toote
jaise ik shaakh pe bharosa kia
is pe jitne thay aashiyaan toote
jaise wehshat se hosh aa jaye
jaise ta dair main dheyaan toote
ab jo raiza howay to sochte hain
kis nay dekha tha tootna apna
hum jo toote to raayegaan toote

ahmed faraz poetry in urdu

Jab Tera Dard Myrey Sath Wafa Karta Hae
Ek Samandar Myri Aankhon Se Baha Karta Hae

Uss Ki Batain Mujey Khushbu Ki Tarah Lagti Hain
Phool Jaisey Koi Sehra Main Khila Karta Hae

Myrey Dost Kii Pehchan Yahi Kaafi Hae
Woh Har Ek Shakhus Ko Daanista Khafa Karta Hae

Aur Tu Koi Sabab Uss Ki Muhabbat Ka Nahi
Baat Itni Hae Kay Woh Muj Se Jafa Karta Hae

Jub Khizan Aai Tu Laut Aaye Ga Woh Bhi Faraz
Woh Baharon Main Zara Kum Mila Karta Hae ..!!!

Sad Poetry of Ahmad Faraz

Suna Hai Loog Usse Aankh Bhar Ke Dekhte Hain
So Uss Ke Sheher Mein Kuch Din Theher Ke Dekhte Hain

Suna Hai Boley Tou Baaton Se Phool Jhartey Hain
Yeh Baat Hai To Chalo Baat Kar Ke Dekhte Hain

Suna Hai Raat Ko Usse Titliyaan Sataati Hai
Suna Hai Raat Ko Jugnoo Theher Ke Dekhte Hain

Suna Hai Uss Ke Badan Ki Taraash Aisi Hai
Ke Phool Apni Qabaaein Katar Ke Dekhte Hain

Rukey To Gardishein Uss Ka Tawaaf Karti Hain
Chaley To Uss Ko Zamaaney Theher Ke Dekhte Hain

Kisse Naseeb Ke Be-Pairahan Usse Dekhey
Kabhi Kabhi Dar-O-Deewaar Ghar Ke Dekhte Hain

Kahaaniyaan Hi Sahi, Sab Mubaalghey Hi Sahi
Agar Woh Khawaab Hai, Taabeer Kar Ke Dekhte Hain

Judaaiyaan To Muqadder Hai Phir Bhi Jaan-E-Safar
Kuch Aur Door Zara Saath Chal Ke Dekhte Hain

Too Saamney Hai To Phir Kiyon Yaqeen Nahin Aata
Yeh Baar Baar Jo Aankhon Ko Mal Ke Dekhte Hain

Yeh Kaun Loug Hain Maujood Teri Mehfil Mein
Jo Laalachon Se Tujhey, Mujh Ko Jal Ke Dekhte Hain

Na Tujh Ko Maat Hui Hai Na Mujh Ko Maat Hui
So Ab Ke Donon Hi Chaalein Badal Ke Dekhte Hain

Buhut Dinon Se Nahin Hai Kuch Uss Ki Khair Khabar
Chalo Faraaz~ Ko, Aey Yaar Chal Ke Dekhte Hain

Best Romantic Poetry Of Ahmed Faraz

tuu paas bhi ho to dil beqaraar apanaa hai
ke ham ko teraa nahin intazaar apanaa hai
mile koi bhi teraa zikr cheer dete hain
ke jaise saaraa jahaan raazdaar apanaa hai
wo duur ho to bajaa tark-e-dosti kaa khayaal
wo saamane ho to kab ikhtiyaar apanaa hai
zamaane bhar ke dukhon ko lagaa liyaa dil se
is aasare pe ke ik gamgusaar apanaa hai
‘Faraz’ raahat-e-jaan bhi vahi hai kyaa kije
wo jis ke haath se sinaafigaar apanaa hai
Funny Poetry Of Ahmed Faraz
Kitni dair hui koi sawal nahi ata
Sawal hum puchein to jawab nahi ata
Ye Sala bathroom me kon baitha hai
Itna lamba toh FARAZ ko b nahi ata
Poetry of Ahmed Faraz In English
Hum bHi shaa'ir tHey kabHi...
English translation by: Guddu Nazli
I too was a poet once O life of my words, but I cannot remember
Since I have forgotten you the love of my art too, I cannot remember
Yesterday during a coversation with my heart I learnt
that any forelock, lips, any mouth, I cannot rememeber
In the city of intellect insanity is quiet as if
the very spontainety the rabid fluidity of his speech, he cannot rememebr
Firstly I was not familiar with the mannerisms required for ruins
Now the ways and traditions of the residents of gardens, I cannot remember
Everyone asks for the shop selling arrows and quiver
but his own body, any customer cannot remember
Time has brought me to such a desert of forgetfulness
Now your name even, may I perish, I cannot remember
Is this not enough that in the state of being without country
the abandonment of my fellow countrymen I cannot remember

Urdu Poetry Of Ahmed Faraz

ab kis ka jashn manaate ho us des ka jo taqsiim huaa
ab kis ke giit sunate ho us tan-man ka jo do-nim huaa

us Khvaab kaa jo rezaa rezaa un aa.Nkho.n kii taqadir huaa
us naam kaa jo Tuka.Daa Tuka.Daa galiyo.n me.n be-tauqiir hua

us parcham kaa jis kii hurmat baazaaro.n me.n niilaam huee
us miTTi kaa jis kii hurmat mansub uduu ke naam hue

us jang ko jo tum haar chuke us rasm kaa jo jaarii bhii nahii.n
us zaKhm kaa jo siine pe na thaa us jaan kaa jo vaarii bhi nahii.n

us Khuun kaa jo bad_qismat thaa raaho.n me.n bahaayaa tan me.n rahaa
us phuul kaa jo beqimat thaa aa.Ngan me.n khilaa yaa ban me.n rahaa

us mashriq kaa jis ko tum ne neze kii anii marham samajhaa
us maGarib kaa jis ko tum ne jitana bhii luuTaa kam samajha

un maasumo.n kaa jin ke lahuu se tum ne farozaa.N raate.n kii.n
yaa un mazalumo.n kaa jis se Khanjar kii zubaa.N me.n baate.n kii.n

us mariyam kaa jis kii iffat luTatii hai bhare baazaaro.n me.n
us iisaa kaa jo qaatil hai aur shaamil hai Gam_Khvaaro.n me.n

in nauhaagaro.n kaa jin ne hame.n Khud qatl kiyaa Khud rote hai.n
aise bhii kahii.n dam_saaz hue aise jallaad bhii hote hai.n

un bhuuke nange Dhaa.Ncho.n kaa jo raqs sar-e-baazaar kare.n
yaa un zaalim qazzaaqo.n kaa jo bhes badal kar vaar kare.n

yaa un JhuuTe iqararo.n kaa jo aaj talak aifaa na hue
yaa un bebas laachaaro.n kaa jo aur bhii dukh kaa nishanaa hue

is shaahii kaa jo dast-ba-dast aa_ii hai tumhaare hisse me.n
kyo.n nang-e-vatan kii baat karo kyaa rakhaa hai is qisse me.n

aa.Nkho.n me.n chhupaaye ashko.n ko ho.nTho.n me.n vafaa ke bol liye
is jashn me.n bhii shamil huu.N nauho.n se bharaa kashkol liye

Poetry of Ahmad Faraz

zakhm ko phul to sar sar ko saba kahte hain
jane kya daur hai kya log hain kya kahte hain

kya qayamat hai ke jin ke liye ruk ruk ke chale
ab vahi log hamain abalapa kahte hain

koi batalao ke ik umr ka bichara mahabub
ittefaqan kahin mil jaye to kya kahte hain

ye bhi andaz-e-sukhan hai ke jafa ko teri
gamza-o-ishva-o-andaz-o-ada kahte hain

jab talak dur hai tu teri parastish kar lain
ham jise chu na sakain us ko khuda kahte hain

kya tajjub hai ke ham ahl-e-tamanna ko 'Faraz'
wo jo maharum-e-tamanna hain bura kahte hain


Poetry of Faraz Ahmed Faraz

Ahmad Faraz

Ahmed Faraz  was a Pakistani urdu poet. He was considered one of the greatest modern Urdu poets of the last century. Faraz is his pseudonym 'takhallus', whereas his real name is Syed Ahmad Shah . Ahmed Faraz died in Islamabad on August 25, 2008






aashiqii be-dilii se mushkil hai

aashiqii be-dilii se mushkil hai

phir muhabbat usii se mushkil hai

ishq aaGaaz hii se mushkil hai
sabr karanaa abhii se mushkil hai

ham ?? aasaa.N hai.n aur hamaare liye

dushmanii dostii se mushkil hai

jis ko sab be-vafaa samajhate ho.n

bevafaa_ii usii se mushkil hai

ek do duusare se sahel na jaan

har ko_ii har kisii se mushkil hai

tuu baa-zid hai to jaa 'Faraz'

Magar vaapasii us galii se mushkil hai.


DukhAfsana nai.

"Dukh fasana nahin ke tujh se kahain
Dil bhi mana nahin ke tujh se kahain

Aaj tak apni be kali kaa sababb....
Khud bhi jana nahin ke tujh se kahain

Bay tarah haal-e-dil hay aur tujh se
Doostana nahin ke tujh se kahain

Aik too hurf aashna tha magar
Abb zamana nahin ke tujh se kahain

Qasid;hum faqeer logoon kaa
Ek thikana nahin ke tujh se kahain

Aye khuda dard-e-dil hai bakhshish-e-doost
Aab-0-danaa nahin ke tujh se kahain

Abb tou apna bhi uss gali main Faraz
Aana jana nahin ke tujh se kahain"


Thuri dor sath chalo

kathin hai rehguzar thodi duur saath chalo
bahot badaa hai safar thodi duur saath chalo

tamaam umr kahan koyi saath deta hai
mai jaanataa hun magar thodi duur saath chalo

nashe mai choor hun mai bhi tumhe bhi hosh nahi
badaa mazaa ho agar thodi duur saath chalo

ye ek shab ki mulaaqaat bhi Ghanimat hai
kisse hai kal ki Khabar thodi duur saath chalo

abhi to jaag rahe hain chiraagh raahon ke
abhi hai duur seher thodi duur saath chalo

tavaaf-e-manzil-e-jaanaa hume bhi karna hai
'Faraaz' tum bhi agar thodi duur saath chalo

 
Wo ho chuka kisi our ka.

Ho Chuka Abb kissi ka Wo
Kabhi meri zindagi tha wo

Kon Bholta hai pheeli Mohabbat
Meri Saari Khushi tha wo

Phoolon Ki tarah muskurata tha
Meray honton ki hansi tha wo

Baad Barson dekha tha ussay
Aaj be utna he haseen tha wo

Zindagi jiss ke naam kardi FARAZ
Afsoos Log kehtay hain Ajnabi Tha wo.

Faraz Ahmad Faraz Shayari

Ahmad Faraz (Syed Ahmad Shah Ali) was born on 12 January in 1931 at Kohat, N.W.F.P in Pakistan. Faraz is his pseudonym 'takhalus'. He was M.A Urdu and M.A Persian. He was one of the great Urdu poets of the last century. He wrote poetry with a fine but simple style. ahmed Faraz has been copared with Faiz Ahmed Faiz. He has 3 sons. His father name was Syed Muhammad Shah Barq and brother is Syed Masood Kausar. Faraz died in Islamabad on August 25, 2008. You can find here Faraz Shayari, SMS, Sad Poetry, Poetry Sad Urdu, Ahmad Faraz Ghazals.
Poetry by Ahmad Faraz
Ab naye sal ki mohlat nahin milne vali
a chuk ab to shab-o-roz azabon vale
ab to sab dashna-o-khanjar ki zuban bolte hain
ab kahan log muhabbat k nisabon vale
zinda rahne ki tamanna ho to ho jate hain
fakhtaon k bhi kirdar uqabon vale
na mere zakhm khile hain na tera rang-e-hina
mausam aye hi nahi ab k gulabon wale

****************************

Vo shaksh to aik choti si Baat pe yun roth k chal dia “FARAZ”
Jaise usay Sadyun se kisi bahane ki Talash thi

****************************

Uski zindagi mein meri Ahmiyat ek Khilone jesi hai “FARAZ”
Dil karta to Khelta hai dil bharta hai to Torta hai

****************************

Us shakhs se mera sirf itna taluq hai”FARAZ”
Wo agar pareshan ho to mujhe Neend atti nahi hai

****************************

Rasm-e-ulfat hai Ijazat nahi deti “FARAZ”
Warna hum bhi tumhain aisa Bhulain k sada yaad rakhon

****************************

Jaane Kis Baat Pe Us Ne Mujhe Chor Diye Hai "Faraz"
Main To Mukhlis Tha Kisi Maan KI Duaon KI Tarah

****************************

Us Shaks Ko To Bichadeny Ka Saleka Nahi "FARAZ"
Jatay Hoe Khud KO Mere Pass Chor Gaya

****************************

Ab Use Rooz Na Soco To Badan Toot'ta Hai "FARAZ"
Umer Guzri Hai Uss Ki Yaad Ka Nasha Karte Karte!

****************************

gham-e-heyat ka jhagra mita raha hai koi
chale aao keh dunya se jaraha hai koi
azal se kah do keh ruk jaye do ghari
suna hai aane ka waada nibha raha hai koi

woh iss naaz se baithe hain lash ke pas
jaise roothe hoye ko mana raha hai koi

palat kar na aajaye phir sans nabzon mein
atne haseen hathon se maiyat saja raha hai koi

****************************

Woh jo aaye the aankhon mein Sitaray lay kar
Janay kis desh gaye Khab hamaray lay kar

Chaon mein baithnay walay hi to sab say pehlay
Per girta hai to aajatay hain Aaray lay kar

Woh jo aasoodah Sahil hain inhein kia maaloom
Ab kay moj aayi to paltay gi Kinaray lay kar

Aisa lagta hai keh har mosam e hijran mein bahar
Hont rakh deti hai Shakhon peh tumharay lay kar

Shehar walon ko kahan yaad hai woh khab farosh
Phirta rehta tha jo Galyon mein ghubar lay kar

Naqd e jan sirf hua kulfat e hasti mein Faraz
Ab jo zinda hain to kuch Sans udharay lay kar


****************************

Mein mar mita to woh samjhay yeh inteha thi meri
Isay khabar hi na thi, khak e kimya thi meri

Mein chup hua to woh samjha keh baat khatam huyi
Phir is kay baad to aawaz ja-baja thi meri

Jo taana zan tha meri poshish e daridah par
Isi kay dosh peh rakhi huyi qaba thi meri

Mein is ko yaad karon bhi to yaad aata nahi
Mein is ko bhool gia hon, yahi saza thi meri

Shikast day gia apna gharoor hi is ko
Wgarna is kay moqabil basat kia thi meri

Kahin dimagh kahin Dil kahin badan hi badan
Har ik say dosti yari juda juda thi meri

Koi bhi khoye Muhabbat say phir nahi guzra
Tu shehar ishq mein kia aakhri sada thi meri?

Jo ab ghamand say sar ko uthaye phirta hai
Isi tarah ki tu makhlooq khak e pathi meri

Har aik sher na tha darkhor e qasidah dost
Aur is say taba e rawan khoob aashna thi meri

Mein us ko dekhta rehta tha hairaton say Faraz
Yeh zindagi say taaruf ki ibtada thi meri

**************************** 

   More Poetry of Faraz Ahmad Faraz

Faraz Ahmed Faraz Poetry

Ahmad Faraz Poetry

Ahmad Faraz
1950-2008
Poetries : 137
Ahmad Faraz is one of the best poets pakistan has ever seen. We bring you all the Ahmad Faraz poetry he has written, here at Ranjish.com. Lots of Ahmad Faraz poetry and Ahmad Faraz shayari is available here for you to read and enjoy. So keep coming up as we keep adding more and more poetries of ahmad faraz.

Kal hum ne bazm-e-yaar mein kya kya sharab pee..

Ahmad Faraz Poetry

Kal hum ne bazm-e-yaar mein kya kya sharab pee,
Sehraa ki tishnagi thi sau daryaa sharaab pee,
Tu sath jo nahin hai to kya gulistan ki sair,
Tu hum’saboon nahin hai to phir kya sharab pee,
Kal aik bazurg dost ne yeh mashwraa diya,
Tera nahin ilaaj koi ja sharaab pee..

Hilaal-e-eid ko dekho to rok lo aansu..

Ahmad Faraz Poetry

Hilaal-e-eid ko dekho to rok lo aansu,
Jo ho sake to mohabbat ka ehtraam karo..
(hilaal;moon)

Zikr us ka hi sahi bazm mein betho to..

Ahmad Faraz Poetry

Zikr us ka hi sahi bazm mein betho to Faraz,
Dard kaisa hi uthay haath na dil pe rakhnaa..

Har waqt ka hasnaa tujhe barbaad na kar de..

Ahmad Faraz Poetry

Har waqt ka hasnaa tujhe barbaad na kar de,
Tanhaayi ke lamhon mein kabhi ro bhi liya kar,
Aye dil! tujhe dushman ki bhi pehchaan kahan,
Tu halqa-e-yaraan* mein bhi mohtaat* raha kar..
(halqa-e-yaraan;around friends, mohtaar;cautious)

Ro parra hoon to koi baat hi aesi ho gi..

Ahmad Faraz Poetry

Ro parra hoon to koi baat hi aesi ho gi,
Main ke waqif tha tere hijr ke adaab se bhi..

Abhi kuch aur karishmay ghazal ke dekhte hain..

Ahmad Faraz Poetry

Abhi kuch aur karishmay ghazal ke dekhte hain,
Faraz ab zara lehja badal ke dekhte hain,
Judaeyaan tau muqaddar hain phir bhi ay jaan-e-safar,
Kuch aur door zara saath chal ke dekhte hain,
Rah-e-wafa mein hareef-e-kharaam koi to ho,
Sau apne aap se aagay nikal ke dekhte hain,
Tu samnay hai tau phir kyon yaqeen nahi aata,
Yeh baar baar jo aankhon ko mall ke dekhte hain,
Yeh kaun log hain moujood teri mehfil mein,
Jo lalichoon se tujhe, mujh ko jall ke dekhte hain,
Yeh qurb kya hai ke yakjaan huye na door huye,
Hazaar aik hi qaalib mein dhall ke dekhte hain,
Na tujh ko maat huyi hai na mujh ko maat huyi,
Sau ab ke dono hi chaalen badal ke dekhte hain,
Yeh kaun hai sar-e-saahil ke doobnay walay,
Samundaroon ki taho’n se ucchal ke dekhte hain,
Abhi talak tau na kundan huye na raakh huye,
Hum apni aag mein har roz jal ke dekhte hain,
Bohat dinon se nahi hai kuch us ki kher khabar,
Chalo Faraz kuu-e-yaar chal ke dekhte hain…

Shab-e-hijr mein soya kese..

Ahmad Faraz Poetry

Dil munaafiq tha, shab-e-hijr mein soya kese,
Aur jab tujh se mila, toot ke roya kese..

Yeh mohabbat bhi hai kya rog Faraz..

Ahmad Faraz Poetry

Yeh mohabbat bhi hai kya rog Faraz,
Jisey bhooley woh sadaaa yaad aaya..

Pyar bhi karna, zamaney se bhi ghanrana bohat..

Ahmad Faraz Poetry

Pyar bhi karna, zamaney se bhi ghanrana bohat,
Aayino’n ka ghar banana aur pathar sochna…

Yeh mohabbat bhi hai kya rog Faraz..

Ahmad Faraz Poetry

Yeh mohabbat bhi hai kya rog Faraz,
Jisey bhooley woh sadaaa yaad aaya..

Pyar bhi karna, zamaney se bhi ghanrana bohat..

Ahmad Faraz Poetry

Pyar bhi karna, zamaney se bhi ghanrana bohat,
Aayino’n ka ghar banana aur pathar sochna…
Us ki aankhon ko kabhi ghaur se dekha hai..

Ahmad Faraz Poetry

Us ki aankhon ko kabhi ghaur se dekha hai Faraz,
Roney walon ki taraaah jaagney waalon jesi..

Shair kisi ke hijr main kehnaa sirf..

Ahmad Faraz Poetry

Shair kisi ke hijr main kehnaa sirf visaal kisi se,
Hum bhi kya hain, dheyaan kisi ka aur sawal kisi se..

Ab tasleem karlen tu nahin to main sahi..

Ahmad Faraz Poetry

Aa ke ab tasleem karlen tu nahin to main sahi,
Kon maaney ga ke hum mein se bewafa koi nahi..

Wafaa Ke Baab Mein iLzaam-e-Aashiqui Na Lia

Ahmad Faraz Poetry

Wafaa Ke Baab Mein iLzaam-e-Aashiqui Na Lia
Ke Teri Baat Ki Aur Tera Naam Bhi Na Lia
Khusha Wo Loog Ke Mehroom-e-iLtafaat Rahay
Tere Karam Ko Ba Andaaz-e-Saadgi Na Lia
Tumhaaray Baad Kayi Haath Dil Ki Simt Barhay
Hazaar Shukar Girebaan Ko Ham Ne Si Na Lia
Tamaam Masti-o-Tishna Labi Ke Hangaamay
Kisi Ne Sang Uthaaya, Kisi Ne Meena Lia
“Faraz” Zulm Hai Kuch Itni Khud Aitmaadi Bhi
Ke Raat Bhi Thi Andheri, Charaagh Bhi Na Lia

“Faraz” Ab Koi Sodaa Koi Junoo.n Bhi Nahi

Ahmad Faraz Poetry

“Faraz” Ab Koi Sodaa Koi Junoo.n Bhi Nahi
Magar Qaraar Se Din Kat Rahay Hon Yun Bhi Nahi
Lab-o-Dehan Mila Guftuguu Ka Fun Bhi Mila
Magar Jo Dil Pe Guzarti Hai Keh Sakuun Bhi Nahi
Na Jaanay Kiun Meri Aankhain Barasnay Lagti Hain
Jo Sach Kahuun Tou Kuch Aisa Udaas Hun Bhi Nahi
Meri Zabaa.n Ki Luknat Se Badgumaa.n Na Ho
Jo TU Kahay Tou Tujhe Umer Bhar Miluun Bhi Nahi
Dukhon Ke Dhair Lagay Hain Ke Loog Baithay Hain
Is Diyaar Ka Mein Bhi Hun Aur Hun Bhi Nahi
“Faraz” Jaisay Diya Qurbat-e-Hawaa Chaahay
Wo Paas Aaye Tou Mumkin Hai Mein Rahuun Bhi Nahi

Learn English Grammar Full