Poetry of Ahmed Faraz
Kissi Se Juda Hona Agar Itna Asan Hota "FARAZ"
Jism Se Rooh Ko Lenay Kabhi Farishtay Na Atayyyy.....!!!
Poetry of Ahmed Faraz
Tu kisi aur ke liye hoga samander-e-ishq faraz
hum to rooz tery sahil se piyase guzar jaty hain..
Poetry of Ahmed Faraz
hum un say millay to khuch keh na sakay"faraz"
khushi itni they k mulaqat ansoo ponchtay he guzar gai
us ne sukuut-e-shab main bhii apanaa payaam rakh diyaa
hijr kii raat baam par maah-e-tamaam rakh diyaa
aamad-e-dost kii naviid kuu-e-vafaa main aam thii
main ne bhii ik chiraaG-saa dil sar-e-shaam rakh diyaa
dekho ye mere Khvaab the dekho ye mere zaKhm hain
main ne to sab hisaab-e-jaan barsar-e-aam rakh diyaa
us ne nazar nazar main hii aise bhale suKhan kahe
main ne to us ke paanon main saaraa kalaam rakh diyaa
shiddat-e-tishnagii main bhii Gairat-e-maikashii rahii
us ne jo pher lii nazar main ne bhii jaam rakh diya
aur 'Faraz' chaahiiye kitanii muhabbatain tujhe
ke maaon ne tere naam par bachchon ka naam rakh diyaa
Poetry of Ahmed Faraz
Kuch muhabat ka nasha tha pehle hm ko Faraz.
Dil jo tota to nashe se muhabat ho gai.
----------------------------------
Yeh wafa to un dinon ki baat hay "Fraaz"
Jab makaan kachy or log sachay hoa krty thy......
----------------------------------
Kon data ha umar bhar ka sahara aay Faraz....
LOG tu JANAZAY man bhi kandhay badaltay rahtay hein....
----------------------------------
"Kis ki Kya majal thi jo koi Hum ko kharid sakta",,,
Faraz,..
"Hum to khud hi Bik gaey kharidar dekh k"...
----------------------------------
'"Ham na badlein gay waqt ki raftaar kay sath,,,
'"Faraz"'
Ham jab b milen gay andaz purana hoga...'".
----------------------------------
"Tera Na Ho Saka To Mar Jaon Ga Faraz.
Kitna Khobsurat Wo Jhoot Bolta Tha".
----------------------------------
Wo Bewafa na tha youn hi badnaam ho gya,,,,
Faraz..,...
Hazaron chaheny waly thy kis kis say wafa karta......
-
---------------------------------
Hum pe faqat ilzaam k hum hain zuban daraz.......
hum ne to bus kaha tha hamain tum se piyar hai....!
----------------------------------
Zindagi to apnay hi Qadmon pe chalti hai Faraz..,
Auron k $aharay to Janazay utha kartay hain..!
-
---------------------------------
Yahee soch kar us ki har baat ko sach mana hay
"FARAZ"~
K itnay khubsoorat Lub jhoot kesay bolain gay..~
-
---------------------------------
Bari Mushkil se Sulaaya tha Khud Ko FARAZ Main ne Aaj...!
Apni Aaankon Ko Tare Khuwaab Ka Laalach Day Ker.....!
-
---------------------------------
Wo roz dekhta hai dubtay huay suraj ko faraz.
Kash mai b kisi shaam ka manzir hota....!
----------------------------------
Main us k Haathon me tha
Tute hue Sheeshe ki trha "Faraz",
Bari Umeed thi k bikhrne nhi dega.
Bus giraya kuch is Ada se k
Simatne ki Aaas hi na rahi
Meri pussundeeda poem
Bhale DinoN ki baat hai
Bhali see aik shakl thi
Naa yeh ky husn-e-taam ho
Naa dekhne mein 'Aam see
Naa yeh ky woh chale tu Keh-kashaan see rahguzar laghy
magar woh saath ho to phir bhala bhala safar lage
koi bhi rut ho us ki chchab
fiza ka rang-o-roop thi
woh garmiyon ki chchaaon thi
woh sardiyon ki Dhoop thi
na muddatoN judaa rahe
na saath subh-o-shaam ho
na rishta-e-wafa pe zid
na ye ki izn-e-'Aam ho
na aisi Khush libasiyaan
ki saadgi gila kare
na itni be takallufi
ki aaina haya kare
na ikhtilaat mein woh ram
ki bad-mazah hon Khwahishen
na is qadar supurdigi
ki zach karen nawazishen
na aashiqi junoon ki
ki zindagi 'azaab ho
na is qadar kaThor pan
ki dosti Kharaab ho
kabhi to baat bhi Khafi
kabhi sukoot bhi suKhan
kabhi to kasht-e-z'afraan
kabhi udaasiyoN ka ban
suna hai aik 'umr hai
mu'Amilaat-e-dil ki bhi
visaal-e-jaanfiza to kya
firaaq-e-jaangusal ki bhi
so aik roz kya hua
wafa pe bahas cherr gayi
main ishq ko amar kahoon
woh meri zid se chidh gayi
main ishq ka aseer tha
woh ishq ko qafas kahe
ki umr bhar ke saath ko
woh bad-taraz-hawas kahe
"shajar hajr nahin ki ham
hamesh pa ba gul rahen
na Dhor hain ki rassiyaan
gale main mustaqil rahain
mohabbatoN ki vus'Atain
hamare dst-o-pa mein hain
bas aik dar se nisbatein
sagaan-e-bawafa mein hain
main koi painting nahi
ki aik frame meiN rahoon
wahi jo man ka meet ho
usi ke praim meiN rahoon
tumhari soch jo bhi ho
main is mizaaj ki nahin
mujhe wafa se bair hai
ye baat aaj ki nahin"
na us ko mujh pe maan tha
na mujh ko us pe za'Am hi
jo 'ahad hi koi na hoi
to kya gham-e-shakistagi
so apna apna raasta
hansi Khushi badal diya
woh apni raah chal padi
main apni raah chal diya
bhali si aik shakl thi
bhali si us ki doosti
ab us ki yaad raat din
nahin, magar "kabhi kabhi"
No comments:
Post a Comment