Everyone
in this World boys or girls mans or woman wants fairness. For that
they tries a lot of different fairness creams or many other highly
chemical contains cosmetics which have negative reactions and leaves
pimples or spots on face which look awkward a lot. For natural fairness
you must use that things which won’t react negatively on your skin and
you may get fairness easily or cheaply. for that simply use your
kitchen ingredients. In this page you will find and read Tips For
Fairness in Urdu Hindi Roman.
Rang Saf karne Ke Lye Hidayat
(Tips for fairness)
Lemon, Arqe Gulab Gilisrin(Lemon, Rosey Water and Gelecrine)
Agar aap rang gora karne ke lye rat ko
sone se pehle lemon, arqe gulab kilisrin ko mix kar ke chehre pr lagaen
to is se aap ko na sirf faida hoga balke chehra kis bhi qisim ke muzir
asarat se mehfoz rahe ga.
Rangat Siyah Q Hoti Hai?(Why color be dark)
Tawil madical research se ye bat wazah
hui hai k jild ki ghehrai me waqa khalyat “melanan” nami ek mada tayar
karte hain. Melanan darasal qudrat ki taraf se ek hifazati tadbir hai.
ye mada jild ko suraj ki tapish shuaon se tahafuz faraham karta hai.
jab bhi suraj ki shuaen jild pr parti hai to melanan ki tayari me izafa
ho jata hai or ye tayar hone ke bad jild ki ghehrai se nikal kar operi
satah pr ajata hai. q k melanan made ki rangat ko siyah hoti hai
lehaza jild ki rangat bhi siyah par jati hai jabke gori jild me melanan
ki niche se oper muntaqali ruk jati hai chunancha jild siyah nahi
hoti.
Baz hasas qisim ki jildon me ye amal boht tezi se hota hai chunancha agar aese afrad shadid dhop me mustaqil rahen to un ki jild bhi tezi se kali parne lagti hai. kuch afrad ki jilde me melanan niche se operi satah tak ane me batadrij tabah ho jata hai is tarha ye nuqsan hota hai k suraj ki shoaon ke muzar asarat ronuma hone lagte hain or mukhtalif jildi amraz ka khatra barh jata hai. baz oqat jild ke ander melanan ki tayari or us ki operi satah pr muntaqli ki rah me pethalogical masail bhi hail ho jate hain jis ki waja se jild pr siyah dhabe par jate hain q k suraj ki roshni me melanan zyada ho raha hota hai lekin jab jild ki beroni satah pr jane me use rukawat hoti hai to ye jild pr dhabon ki sorat me namudar hota hai or agar is ke bawajud ahtiyat na ki jae or shadid dhop me raha jae to ye dhabe or bhi ghehre or pake ho jate hain.
Mazkora sator me siyah rangat ki waja me melanan ka kirdar samne ata hai jo jild ki hifazat ke lye zarori to hai magar is ki ziyadti siyah rangat ka sabab ban jati hai. siyah rangat ke tadaruk me sab se zyada ahmiyat is bat ko hasil hai k mukhtalif tariqon se melanan ki tayari me kami kar di jae.

Behre hal siyah rangat chahe paidaishi ho
ya waqt ki waja se dono me yaksa ahtiyat or elaj ke tariqe istamal kye
jate hain. Is me sab se aham to ye hai k suraj ki tapish shuaon me
mumkin had tak khud ko mehfoz rakhen or agar suraj ki roshni me nikalna
zarori hai to suraj ki kiranon ko rokne wali hifazati ashya “sun
cream” laga kar bahar jaen.
Rang Saf Karne Ke Lye Hidayat(Tips for fairness)
- Suraj ki tez shuaon se mumkin had tak khud ko mehfoz rakhen.
- Rozana gusul ki adat apnaen. Gusul ke doran kisi mote kapre se jild ko khob achi tarha malen ta ke murda khalyat dor ho jaen. Gusul ke bad ek chamach kha kar thende pani ka ek glass pien. Is ke bad kisi soti kapre me barf ka tukra rakh kar chehre pr boht ahistagi se masaj karen.
- Rat ko sone se pehle shehad, dah ya ghikawar ka goda chehre pr or hath peron ki jild pr lagaen or subha dho len.
- Khorak me vitamin c se mazin gizaen zyada istamal karen.
- Rozana 10 se 12 glass pani zaror pijye. Pani pite waqt ye khayal zaror rakhen k is ke foran bad giza na li jae or giza ke foran bad bhi pani istamal na karen.
- Rang gora karne ka gharelo totka
- Taza dudh se chand roz chehra dhone se rangat nikhar ati hai.
- Rozana nashta me ek glass gajar ka arq pi len chehra nikhar jae ga.
- Podine ki patiyan le kar inhen ubal len or is ka pani nehar mun pine se rang gora ho jata hai.
- Sarson ki khal me santare or lemon ke chilke mila kar ubtan bana len. Rozana chehre pr lagaen sanwala pan dor ho jae ga. Badam haldi or chawal pis kar in me thora sa dudh shamil kar len phir chehre pr lagaen. Chand dino me wazah fark mehsos ho ga.
- Ek murgi ka anda, dudh ek tola or thora sa khalis shehad len or is ka amiza tayar kar ke chehre pr subha sham malen or adhae ghante ke bad chehre ko dho dalen. Sirf 15 din me aap ka chehra gora ho jae ga.
No comments:
Post a Comment