Makeup Urdu Tips
Source:- Google.com.pk
Khawateen apni khobsoorti ko berhanay kay liye makeup ka istemaal kerti
hain. Makeup kay liye munasib alaat ka hona bay had zaroori hai. Iss
terha say aap apnay chaehray ki jild ki hifazat ker sakti hain. Kiyun
kay chehray ki jils bay had nazuk aur naram o mulaaim hoti hai iss liye
iski hifazat per khasoosi tawajjah daini chahiye.
Sub say acha makeup who hota hai jis ko baar baar theek kernay ki
zaroorat na paray. Akser khawateen kiyun k naukrii kerti hain iss liye
unko sara din tar o taza aur khobsurat nazer ana perta hai. Make up ka
sahi istemaal unki yeh mushkil asaan ker sakta hai. Acha makeup kernay k
liye zaroori hai k apko pata ho k kaun si makeup ki masnooaat achi aur
mayari hain. Tajurbaat kernay say behter hota hai k aap kisi mahir ki
madad lain aur apni jild k mutabiq makeup ki masnooaat ka intekhab
karain. Bina janay k apki jild kis qisam ki hai ya apki jild k liye kis
company aur kaun say shade ki masnooaat theek rahain gi, khawateen akser
galat masnooaat khareed laity hain aur phir mushkilaat ka shikaar hoti
hain.
Makeup Tips in Urdu:
Zail mein achay makeup ka tareeqa aur sahi istemaal darj hai. Ager apko
makeup say mutaliq mashwaray ya rahnumaai ki zaroorat hai tou ap yeh
tehreer perh k faida hasil ker sakti hain.
Base/Foundation:
Acha makeup kernay k liye sub say eham cheez base ya make up foundation
hai. Ager apki jild daag dhaboon ya kisi bhi qisam k nishanaat say paak
hai tou apko sirf aur sirf koi bhi acha moisturizer istemaal kerna
chahiye. Ager nahi tou achi foundation ka istemaal bayhadd zaroori hai.
Iss baat khaasoosi khayaal rakhna chahiye k aap foundation ko achay
tareeqay say chehray per lagain taa kay apki jild yaqsaaan nazer aiye.
Yaad rahay foundation ka shade woh ho jo apki chehray ki rangat k hisaab
say ho. Galat shade ka intekhaab apkay liye massial paida ker sakta
hai. Iss liye bohut ehtiyaat say foundation kay shade ka intekhaab
karain.
Sanwali rangat wali khawateen ko chahiye k who do shades ko mila ker
matlooba shade bnaain. Foundation ka sahi istemaal ho tou iss kay baad
makeup kerna asaan ho jata hai.
Eye makeup:
Apnay libaas k hisaab say eye shades ka intekhaab karain. Iss kay sath
sath yeh bhi khayaal rakhain kay ap woh shade istemaal karain jo apkay
chehray aura ankh ki bnawat k hisaab say bhi acha lagay. Do shades ko
mix kernay say aankhain khusnuma lagti hain, iss liye achi terha blend
kerna bohut zaroori hai. Mager dayhaan rahay gehray shades ka istemaal
usi waqt karain jub woh apko achay lagain. Iss kay sath sath Rangoon ka
intekhaab mausam aur taqreeb kay hisaab say kerna chahiye.
Lipstick:
Lipstick makeup k liye bay had zaroori cheez hai. Iss kay bagair apka
makeup mukammal nahi h sakta. Behter yeh hota hai k ap lipstick ka
istemaal dayhaan say karain. Larkiyoon ko halkay rung ki lipstick ya lip
gloss ka istemaal kerna chahiye. Iss terha who apni umer say bari nahi
lagti. Isi terha khawateen ko bhi lipstick ka shade daikh bhaal k
istemaal kerna chahiye. Din ya raat ki taqreeb k liye munasib rung ka
intekhaab bayhadd zaroori hai.
No comments:
Post a Comment