How to Gain Weight in a Week?

How to Gain Weight in a Week?
7 Dino men Wazan Badhaen!

(In the Name of Allah, Most Gracious, Most Merciful)

(In the Name of Allah, Most Gracious, Most Merciful)

Learn English Grammar

Mota honay kay totkay

Ager aap ki sihat achi hay aur bemar nahin hen to aap mota honay ke uljhan men nah pren. yeh sihat ke nishani nahen balkay bemari ke ilamat hay. Ager aap ka hazma drust hay, Jismani kamzori ki shikayat nahen hay to aap tandarust hen.
Ager aap ko mota honay ka shoq hay to apni ghiza meN anda, doodh, makhan, paneer aur cream ka istmal kijiye. Patay dar sabzyan khaen. Rozana warzish karen. Suboh kw hawa khori meN lambay lambay qadmon say chalen. Aik do meel say ziada nah cahlen. Ager aap kay pas dodh hay to 2, 3 pao doodh rozana istamal karen. Aap kay jisam per gosht charhay ga aur aap ka jisam pehlay
say ziada tandarust ho jay ga. Aap ko 15 dino men bahot ziada faraq nazar ay ga.

Chehray kay danay khatam kerny k totkay

Kia aap kay chehray per danay bantay hen aur aap preshan hen?

Larki ho ya larka Saf chehra us kay husan ke pehli nishani hoti hy. Ager aap bahot he ziada khobsurat hen lekin aap ky chehray per dany (Pimples) ban jatay hen to aap sara husan kho detay hen. Yeh dany bahot c bemaryon ke waja say bhi ho saktay hen aur Kuch khorak men ghaflat bertany say bhi ho saktay hen.
Ager aap is mushkil men hen to men aap ky liye laya hon aik zabardst totka jis say 80% log is gandgi say chutkara hasil ker saktay hen.


  1. Kali mirach len aur sandal ke manind rager ker chehray per laip ker len. Do char din esa kernay say aap kay chehray kay dany khatam ho jayen gay.
  2. Pani ziada say ziada istemal kren.
  3. Ager is kay bawjod aap kay dany thek nahi ho rahy to kisi skin specialist Dr. say raju karen.

Hichki roknay kay totkay

Kia aap ko hichkiyan bahot ziada aati hen?

Hichki aana koi bemari nahi lekin baz oqat yeh insan ko bahot ziada preshan kerti hy. Kabhi insan doston men betha hota hay to kabhi rishtadaron men Us waqat ager insan kay sath kuch aisa ho to bahot uljhan hoti hy. Men aap ky liye laya in halat men hichki roknay kay liye kuch totkay laya hon umeed hay ager ap is preshani ka hal chahty hen to aap zrur mustafeed hon gay.


1. Hichki aa rahi ho to is ka ilaj yeh hy keh pani men shaker dal ker is ka sharbat bna len aur isay pee len. Hichki khatam ho jaye ge.
2. Hichki musalsal aa rahi ho to zra si cheeni kha len hichki khatam ho jaye ge.
3. Hichki musalsal aa rahi ho aur band nah ho rahi ho to ganay ke gandairyan bna len aur chosen. Hichki band ho jaye ge.
4. Glass men thora sa pani len aur usay 3 sanson men piyen. Her sans men 3 bar "Ya Hafeezo" parhen, InshaAllah hichki ana band ho jaye ge.

Yadasht taiz kerny kay totkay

Dimaghi quat Allah ke bahot bari naimat hy. Is kay baghair insan bekar hay. Insan zindagi kay kisi shobay men bhi Allah ke di hui is naimat kay baghair traqi nahi ker sakta. Kyun kay Allah nay hmaray jisam kay her aza ko is kay sath jor dia hay.

Kuch logon ka hafiza bahot taiz hota hay. Jab kay kuch logon ke yadasht bahot kamzor hoti hay.
Yehi waja hay kay kuch students ke qabliyat ke waja un ke yadasht (memory) hoti hay. Un logon kay liye jin ke yadasht kamzor hay aur woh apni yadasht taiz kerna chahtay hen men kuch totkay lay ker aya hon.
Bahot say log chezen rakh ker bhol jatay hen jo keh un ke damaghi kamzori yani yadasht ke kami ke wja say hota hay.
  1. Kuch badam aur zra c kali mirach lejiye aur usay pees ker yak jan ker kay kisi botal men band ker len. Her suboh uthnay kay bad nihar mounh isay khayen. kuch he arsa men aap ka hafiza itna taiz ho jaye ga kay aap ko bachpan ke baten yad aana shuru ho jaen ge.
  2. Ager aap uper diye gaye totkay men dushwari mehsos kertay hen to Nihar mounh 5 ya 7 adad badam ke gulyan aur 3 adad kali mirchen kha lia karen.
  3. Suboh khali pait kisi darakh ya danday kay sath 3 minute ulta lataknay say hafiza taiz ho jata hy. Is kay ilawa aisa kernay say Qad (Height) bhi berh jata hy.

Motay honton ko patla kernay kay totkay

Kia aap kay hont motay hen jo aap kay face per suit nahi kertay?
Motay hont buray to nahi hotay lekin kuch logon kay chehray kay baqi ijza in say match nahi kertay. Kuch logon kay chehray per motay hont achay lagtay hen jab kay dosri taraf kuch logon ko patlay (bareek) hont jachtay hen. Motay hont badsurti ke ilamat nahi hen lekin phir bhi kuch log inhen patla bnana chahaty hen aur pnay husan men nikhar peda kerna chahtay hen.
Kia aap apna husan berhana chahtay hen ta kay her kisi ke nazar aap kay per tiki reh jaye?
Ager aap yeh chahtay hen to aap ke is khahish ko pora kernay kay liye yeh blog bahot waseh (wide) hy. Is post men aap ko hont patlay kernay ka tareka btanay ja raha hon. Hont insan kay husan ka aik eham hisa hen.

  1. Mazu phal ko koot ker pees len. Is kay bad bareek ker kay kapray say chhan len pani dal  ker garha laip bna ker honton per lga len. Kuch din musalsal aisa kernay say aap kay motay hont patlay ho jaen gay.
  2. Phatkari len aur usay bareek pees ker maiday jesa bna len. Us men thora sa gulab ka arak mila len. Rat ko satay waqat honton per laip ker kay so jaen. Kuch din musalsal aisa kernay say motay hont patlay ( bareek) ho jaen gay.

Palken lambi kernay kay totkay

Lambi palken (Eye lash) Insan ke aankhon men bay inteha husan paida kerti hen. Jis insan ke palken lambi hon us ke aankhon say nazar hatana mushkil ho jata hay. Aankhen bari hon ya chahay chamakdar ager palken choti hon ge to aap ke aankhon men woh kashish nahi ho ge jo kashish ik lambi palkon wali aankhon men hoti hay. Husan qudrat ka dia hua aik anmol tohfa hay. Husan qudarti cheez hai. Lekin hmary bazurgon nay her tarha ke bemari aur her tarha cheez ke khobsurti-o-aaraish kay liye bahot say nuskhay btaye hen.
Kia aap ke palken chhoti hen?
Kia aap apni aankhon ko dilkash bnana chahtay hen?
Jee haan ager aap apni aankhon ko purkashihs bnana chahaty hen to Kuch totkay aap ke khidmat men paish hen. Is blog men mojod tamam totkay 100% guaranteed hen. Basharat yeh kay aap ka istemal thek ho. Yeh tamam totkay bahot baray aur puranay hakemon ke kitabon say liye gaye hen.
Jesa kay aap log jantay hen Allah Taalah nay her bemari ka koi nah koi ilaj bnaya hai. Aur hmaray Doctors aur Hakeem hazrat nay apni sakhat mehnat kay bad Allah ke chupi naimton ko dhond ker hmaray samnay rakha hay.
Aankhon ko purkashish, Khobsurat aur Pur-jazib bnanay kay liye yeh nuskha/totka aap kay liye darj zail hy.

  1. Doodh ko garam kernay kay bad Flalen(Fla-lain) kay kapray ko is garam doodh men bhigo len (geela ker len). Phir is kapray ko aankhon per us waqat tak rakhen jab tak us ke garmaish khatam nah ho jaye. Yeh amal teen char bar karen. Yani Kapray ko garam doodh men bhigo ker aankhon per rakhen jab thanda ho jaye phir bhigo ker rakhen phir thanda ho jaye to phir bhigo ker rakhen yeh amal 4 bar karen. Rozana (daily) aisa kernay say aap ke aankhen khobsurat aur lambi ho jayen ge.

Rang nikharnay kay totkay/nuskhay

Kia aap ka rang saf nahi?
Aap apna rang nikharna chahtay hen to is nuskhay per amal karen. Insha'Allah aap kuch he dino men aap ko saf faraq nazar aye ga.
Chehray ka nikhar aap kay husan ke ilamat hay.
Is nuskhay / totkay say nah sirf aap kay chehray ka rang nikhray ga balkay aap kay saray jisam men nikhar paida ho ga.

  1. Do chitank (125 gram) palak len. Us men zara sa pani mila ker ubal (boil) ker len. Chutki bher namak (salt) aur aik chamcha (spoon) shehd (honey) shamil kejiye. Aur pani subah pee lia kren. 1 Mahena musalsal aisa kernay say aap apnay chehray ka nikhar dekh ker heeran ho jayen gay.

Palkain lambi kernay kay asan treeqay

Is post men aap ko palken daraz kernay kay 6 aasan totkay batany ja raha hon. Jin say aap yaqeenan mustafeed hon gay.
  1. Rat ko sotay waqat palkon per halka halka zaiton ka tail (oil) lgaen.
  2. Palkon ki jaron (roots) men roi (cotton) ki madad say custard oil lgaen.
  3. Asal shehd (honey) aur custard oil dono ko brabar miqdar (equal quantity) men len aur kisi shehi men mila ker rekh len. Rat ko sotay waqat palkon per lgaen.
  4. Naryal (coconut) ka tail rat ko sonay say pehlay rui (cotton) ke madad say lgaen.
  5. Ager aankhon ke palken girnay lagen to kaboter (pigeon) ke beath, shehd men mila ker lganay say palken girnay say ruk jati hen.
  6. Rozana (daily) aankhon men surma lgaen nah siraf benai taiz ho jati hay balkay bhi lambi lambi aur ghani ho jati hen.

Hont surakh/red kernay kay totkay

Ager aap kay hont khobsurat nahi hen?
Aap apnay hont khobsurat bnana chahtay hen?
Ager aap kay honton per siahi si rehti hai yani aap kay hont siah (black) black dikhtay hen ya kisi aur waja say aap kay chehray per suit nahi kertay aur aap apnay honton ko surakh (red) bnana chahtay hen to aap kay in totkon per amal kejiye aap kay hont khobsurat banen.
  1. Sonay say pehlay honton per veciline laga ker sonay say hont surakh ho jatay hen.
  2. Rozana rat ko sonay say pehlay zafran kay do teen joye pani men bhigo ker honton per lgaen aur panch (5) das (10) minute bad dho len.
  3. Pisi hui phatkari Gulab kay araq men aur 4 qatray (drops) lemon ka ras len. Teno cheezon ko mila ker din men do teen bar aur rat ko sotay waqat lganay say honton ke siahi door ho jati hay.
  4. Thori si balai men chand qatray lemon ka araq mila ker honton per lgaen hont surakh ho jaen gay.
  5. Phatkri aur glycerine mila ker lganay say bhi hont khobsurat ho jaen gay.
  6. Sardyon men hont akser phat jatay hen. Is liye gaye (cow) ka kacha doodh honton per lgaen.
  7. Tmater (tomato) kat ker honton per malnay say hont khobsurat aur red ho jatay hen.
  8. Lemon kay chilkay ko rozana honton per ragernay say honton ke blackness khatam ho jati hay.
  9. Gulab ke patyon ko pees ker doodh men mila len aur inhen achi tarah mix ker kay honton per lgaen.
  10. Zaitoon kay tail (oil) men lemon ka ras mila ker honton per lganay say honton ki siahi door ho jati hai.

Learn English Grammar Full