Chottay qad ka masla her jga hai aur her dosray insan kay sath hai. Zindagi mein her koi ksi na ksi diqqat ka he shikar hota hai. Jesay kay Ksi ko
apna jism patla lgta hai ksi ko mota. Isi tarah Ksi ko apna rang gora lgta hai ksi
ko kala, or her koi is qism ki kmi ko pora krney ki koshish krta rehta
hai ta k uski shakhsiyay purkashish rhe. Is he sb maslon ki trha, qad
lamba krna bhi baz logon ka khwab hota hai. Pakistan balkey deegar
Janoobi aisa k mulkon mein bhi aksar logon k qadd both zyada lambey nh
hotey. Agar ap Europe se muqabla kren to wahan k log (mard bhi or
auraten bhi) hmarey yahan k logon se zyada lmbi hoti hein. Aksar
larkiyon or larkon ko ye khwahish hoti hai k wo apne doston k bech
kharey hon to sb se zyada chotey qad k na lgen. Isi liye wo qad barhaney
ki koshish krtey hein. Qad lamba kreny k liye both se log tonics
istimal krna shuru kr dete hein. Mere khyal se sb se behtar tariqa ye
hai k agar apko apna qad lmba kreny ki khwagish hai to ap apne liye ad
lamba krney k desi totkey istimal kren. Inka faida ye hai k apko ksi
side effect ki fikr nh rehti. Ap khud ko mehfooz rkhtey hwe apna ad brha
sktey hein. Qad barhaney k kuch desi totkey yahan byan kiye jar he
hein. Yeh totkay bahot asan hen aur aap yaqeenan in say mustafeed hon gay.
Darakht se latakna
Sb se khas or sb se behter taria jisko ap ad barhaney ka desi totka
keh sktey hein wo ye hai k nau umeri mein bachon ko warzish ki adat
dalen, or khas kr un se kahen k wo monkey bars ya darakht ki ksi aisi
tehni se latken jahan se un k girney ka dr na ho. Ye warzish na sirf
jism mein khon ko rawan rkhti hai balkey latakney se apka jism khud ba
khud qad ko brhany ki taraf raghib ho jata hai. Is tariqa ka asar ksi
bhi umer mein ho skta hai lekin is bat mein koi shubha nh k iska sb se
behtareen asar usi soorat mein hota hai agar latakney ki warzish nau
umeri mein ki jae.
Apni khorak ka khyal rkhna
Ye nuskha bhi qad brhaney ka aik desi totka hai. Apni khorak mein so
sb ajza shamil kren jo k qad k barhney ka bais bntey hein. Qad barhaney
mein sb se behtar tariqa ye ho ga k apki khorak mutanasib ho. Agar apki
khorak mein lamhiyat, chiknai, vitamins, namkiyat sb kuch shamil hoga to
ap mein ksi qism ki koi kmi nh rhe ge. Iska nateeja ye nikley ga k apka
jism warzish k sath sath lmbai ki taraf raghib hoga. Ye amal both
ahista ahista hoga. Apko apni sehat ka khyal apni warzish k sath sath
rkhna hoga. Ye dono qadam apko aik sath he lene hon gai.
Sch to ye hai k warzish or mutanasib khorak he apka qqad barhaney k
desi totkey hein. In dono baton ka khas khyal rkhen khas kr nau umeri
mein.