Lambi palken (Eye lash) Insan ke aankhon men bay inteha husan paida
kerti hen. Jis insan ke palken lambi hon us ke aankhon say nazar hatana
mushkil ho jata hay. Aankhen bari hon ya chahay chamakdar ager palken
choti hon ge to aap ke aankhon men woh kashish nahi ho ge jo kashish ik
lambi palkon wali aankhon men hoti hay. Husan qudrat ka dia hua aik
anmol tohfa hay. Husan qudarti cheez hai. Lekin hmary bazurgon nay her
tarha ke bemari aur her tarha cheez ke khobsurti-o-aaraish kay liye
bahot say nuskhay btaye hen.
Kia aap ke palken chhoti hen?
Kia aap apni aankhon ko dilkash bnana chahtay hen?
Jee haan ager aap apni aankhon ko purkashihs bnana chahaty hen to Kuch
totkay aap ke khidmat men paish hen. Is blog men mojod tamam totkay 100%
guaranteed hen. Basharat yeh kay aap ka istemal thek ho. Yeh tamam
totkay bahot baray aur puranay hakemon ke kitabon say liye gaye hen.
Jesa kay aap log jantay hen Allah Taalah nay her bemari ka koi nah koi
ilaj bnaya hai. Aur hmaray Doctors aur Hakeem hazrat nay apni sakhat
mehnat kay bad Allah ke chupi naimton ko dhond ker hmaray samnay rakha
hay.
Aankhon ko purkashish, Khobsurat aur Pur-jazib bnanay kay liye yeh nuskha/totka aap kay liye darj zail hy.
- Doodh ko garam kernay kay bad Flalen(Fla-lain) kay kapray ko is
garam doodh men bhigo len (geela ker len). Phir is kapray ko aankhon per
us waqat tak rakhen jab tak us ke garmaish khatam nah ho jaye. Yeh amal
teen char bar karen. Yani Kapray ko garam doodh men bhigo ker aankhon
per rakhen jab thanda ho jaye phir bhigo ker rakhen phir thanda ho jaye
to phir bhigo ker rakhen yeh amal 4 bar karen. Rozana (daily) aisa
kernay say aap ke aankhen khobsurat aur lambi ho jayen ge.