How to Gain Weight in a Week?

How to Gain Weight in a Week?
7 Dino men Wazan Badhaen!

(In the Name of Allah, Most Gracious, Most Merciful)

(In the Name of Allah, Most Gracious, Most Merciful)

Learn English Grammar

Aankhon ko khobsurat bnany kay liye Tips

Image result for pictures of beautiful eyesTips for beautiful eyes: You will read and follow these natural tips and tricks to look your eyes naturally beautiful. In this page you read in following tips for beautiful eyes in Urdu and Hindi.

 

 

Roshan Chamakdar Aankhein(Beautiful Eyes)

Image result for pictures of beautiful eyesAankhein amoman sehat ka aena aur chehre ke tasurat zahir karne mein sab se zyada hasas hoti hein. Khobsorat chamakdar aankhein tabnak sehat ka aik hissa aur ek qemti asasa hein. Aankhein ap ki shaksiyat ko zabardast uthan deti hein. Dosri taraf aankhein he kharab sehat ki akas aur zehni mayosi aur afsurdagi wa malal ka bar mala izhar karti hein. Bimari ke doran sab se pehle aankhein he dard-o-karb ki dastan sunati hein.

Be Ronaq Aankhon Ke Asbab (Reasons For Dull Eyes:

Bujhi bujhi be-ronaq aankhon ke bare asbab mein zehni dabao, naqis gheza aur khon ki gher mozu gardish shamil hein. Zehni dabao ezafi kaam, pareshani, khof, eztarab ka natija hota hai jo aankhon pe tabai dabao dalta hai aur in ke patthe aur aesab mutasir hote hein. Aankhon pe dabao ke degar asbab mein kum roshni mein mutala, tez roshni, chalti hoi train, bus ya car mein mutala, bohat zyada television ya cinema dekhna aur bohat zyada parhna bhi numaya hein. Gard-o-ghubar, dhowa aur zyada der tak tareki mein dekhne ka amal bhi aankhon ke liye nuqsanda hota hai. Ye tamam batein aankhon ke nizam ko mutasir karte hein aur woh be-ronaq bujhi bujhi aur thaki thaki nazar aati hein. In ke chamak aur kashesh khatam ho jati hai. Be-ronaq aankhein jism mein amomi fasid mado ke ajtama ki alamat hote hein ye amoman fasid made azafi nishaste, cheni aur protein ke estamal ke natije mein peda hote hein. Aankhon ke pathe aur in ke erd gird pai jane wali khon ki naliyan in lothron aur thako ki amaj gah ban jati hein jo gher matawazan khorak aur naqis metabolism khon mein tashkel dete hein.

Sehat mand aur zindagi se bhar por aankhon ke liye zarori hai ke inhein khon ki munasib rasad aur aesabi qowat barqarar rahe. Khon ki naliyon ya aankhon aankhon ke aesab mein ksi bhi qisam ki rukawat, aankhon ko tab-wa-taab se mehrom kar dete hai. Garden ke peche rerh ki haddi ke balai hissa per pae jane wale patthe aankhon ko khon aur aesab ki tarsel mein mechanical madakhlat ka muqam hote hein. In patthon ki sehat aur nighedasht aankhon ki kar-dardagi aur khobsorti ki zamanat qarar di jati hai aue es ke liye gheza aur warzish ka sahara liya jata hai.

Fitri Nighedasht (Natural Tips For Beautiful Eyes):

Aankhon ki tabi sehat aur chamak damak bahal rakhne ke liye pehla aehum tareen amal dabao khatam karna aur aankhon ke erd gird pae jane wale patthon ka khechao dor karna yani in ko qudrati dheli aur lachakdar halat mein lana hai. Lehaza garden ki warzeshein ye maqsad hasil karne ka moasar zarya hein. Ye tamam warzeshein pur-sakon halat mein beth kar ki jaein chahiye.
Aankhon ki warzeshein (Exercise for Eyes):
1. Apna sir sedha aur dhela rakhein. Aankhon ko oper aur niche 6 dafa harkat dein. 2,3 second ke aaram (waqfa) ke bad pher ye amal dohraein. Aankhein aahistagi se aur ba-qaedgi se pori tarha harkat mein laein. Yani jahan tak mumkin ho niche au roper ki taraf harkat dein. Aankhon ki harkat ka matlab putliyon ko harkat dena hai. Ye warzish 2 ya 3 dafa karein.

2. Aankhon ko 6 dafa daein se baein aur pher baein se daein taraf harkat dein. Putliyan pori tarha aik se dosri taraf harkat mein aaein lekin es harkat ke peche qowat ya koshesh karfarma nahi honi chahiye balke aasani aur aazadi se harkat di jae. Ye warzish bhi 2 ya 3 dafa Karin.

3. Apne daein hath ki angasht shahadat khari kar ke aankhon ke samne 8 inch ke fasle per rakhein. Pher ungli ke bajae es se 10 ya zyada fit dor ksi bari chez maslan darwaze ya kherki ko dekhein. Ab ek bar ungli ko aur pher bari chez ko dekhein. Bari bari dono chezon ko 10 dafa dekhein. Ye warzish tezi se karein.

4. Aankhon ko aahistagi aur narmi se ed daere ki shakal mein harkat dein. Pehle aik simt mein aur pher e ski ulti simt mein. Yani pehle clock vise aur pher anti clock vise. Ye warzish 4 dafa karein. 2,3 second ke liye aaram karein aur pher es warzish ko 2 se 3 martaba dohraein. Es warzish mein ap ki aankhon ko thori si mehnat karna pare gi lekin kam se kam mehnat aur koshesh broe kar laein.
Garden ki warzeshein (Exercise for Neck):
1. Garden ko daere ko sorat mein aur pher nem daere ki sorat mein ghomain.

2. Kandhon ko daere ki sorat mein clock vise gardish karein’ jahan tak mumkin ho inhein oper laein. Muta-ad-dad bar ye warzish karein.

3. Sir ko mumkin had taka age aur peche jhokaein’ aik bar aage jhokate howe thodi ko chahti ki balai haddi se laga dein aur pher sir ko peche le jate howe guddi ko kandhon se laga dein.

4. Sir ko daein aur baein taraf bari bari mumkina had tak kham dein’ ye amal muta-ad-dad bar dohraein. Ye warzeshein garden ke kheche howe patthon ko dhela karne mein madad deti hein. Kheche howe patthe khon ki rasad ki taraf kam kar dete hein.
Pani ke Chetein:
Din mein 3 se 4 dafa band aankhon pe thande pani ke chetein marein pher band pappoton pe 1 minute tak koi saf toliya narmi se lekin tezi se ragrein. Ye amal aankhon ko thanddak bakhshta hai aur khon ki rasad mein ezafa karta hai.
Palming for Eyes:
Ksi bazo wali kursi pe pur-sakon andaz mein beth jaein aur aankhein band kar lein. Apni hatheliyon se aankhein dhanp lein. Daein hatheli daein aankh per aur baein hatheli baein aankh per rakhein. Aankhein band rahein lekin in per dabao na dalein. Ab esi position mein yani aankhon per hatheliyan rakhein howe apni kohniyon ko ghotno per laein. Aap ke dono ghutne aapus mein jure howe hone chahiye. Band aankhon ke sath tareki ka tasawar karein. Tasaver karein ke tareki gehri hoti ja rahi hai. Band aankhon ko hatheliyon se dhanpne ke amal ko palming kehte hein. Ye amal aankhon pe mojod dabao ko kam karta hai. Inhein dhela aur pur-sakon karta hai aur erd gird ki bafton ko khechao aur tanao se nikalta hai.
Massage for Eyes:
Ksi neem garam nabatati teel (oil) (zaitoon ya kasamba) se aankhon ka massage inhein khobsurat banata hai. Chonke aankhon ke erd gird pai jane wali jild bohat nazuk hoti hai es liye massage nehayat narmi se karein. Ese ragarne se gurez karein. Tesri ungli ki por se massage ka amal nak ki balai haddi se eyebrow ke niche se shoru karein aur aik daere ki shakal mein kanpattiyon ki taraf laein aur ankh ke niche se hote howe wapus nak ki taraf jaein. Esi amal ko musalsal daere ki shakal mein ghomate howe dohraein. Yad rah eke ye massage nehayat narmi se aur halke phulke andaz mein kiya jae.
Gheza (Foods for Eye Health):
Aankhon ki sehat aur khubsurati ke liye gheza nehayat aehum hai. Fitri aur kachi ghezaein aankhon ke liye bohat mufeed rehte hein in ghezaon mein taza phal maslan seb, angor, sangtara, aado, pappita aur anar waghera aur sabz tarkariyan maslan salad pate, band gobhi, palak, shalgham ke patte aur denthal waghera shamil hein. Jadon per mushtamil sabziyon mein aalu, shalgham, gajar, piyaz aur chuqandar ke elawa maghazyat, khushk phal aur dairy ki masnoat bhi aankhon ke liye zarori hai.

Aankhon ki sehat aur tandurastagi ke liye anaj bhi zarori hai lekin in ka estamal aetadal ke sath karna chahiye. Salim aate ki roti (chapatti ya bread) sab se behtar aur intahai mozo gheza hai. Jam, cake, pastry, safeed cheni, white bread, mede ke pakwan agar chae aur coffee, gosht aur machli ke sath khae jaein to nizam-e-hazam aur jism ke sath tabah kun khel khelte hein. Tabkher peda karne wale aur qabz la-haq karne wale khane, sharab aur degar nasha aawar made bhi nuqsanda hote hein chunancha in se gurez karna chahiye.

Tamam tar ghezaeyat bakhsh ajza (vitamins aur maadani ajza) jin ki jism ko ashad zarorat hoti hai, ye aankhon ke sehat aur khubsurati ke liye muawanat karte hein. Vitamin A ka asar aankhon per bohat gehra hota hai.

Normal aur sehat mand aankhon ke liye ghezaon ke zarye vitamin A ki wafer maqdar ka hosul jari rehna chahiye. Es vitamin ke behtareen qudrati zarae mein machli ka teel, balai samet dodh, dahi, ghi, makhan, ande ki zardi, kadu, gajar, sabz paton wali tarkariyan, tamater, aam, papita, musammi aur tarboz shamil hein.

Agar jism ko mohaiya hone wali vitamin A mein kami ho to aankhein tez roshni bardasht nahi kar sakti. In ki has-sa-siyat badh jati hai aur mutalqa fard bohat jald aankhon ki thakawat mehsos karne lagta hai. Agar es vitamin ki kami shedat ikhtayar kar jae to basarat mein nuqs ba-tad-rej badh jata hai. Roshni bardasht nahi hoti aur aankhon ki apni chamak damak bhi manind pad jati hai.

Aankhon ko normal rakhne ke liye inhein roshan aur khubsurat rakhne ke liye ek baligh fard ko rozana kam az kam 10,000 unit vitamin A leni chahiye. Aese log jo apni aankhon ka estamal rozana bohat der tak karte hein ya bohat tez roshni mein karte hein. Inhein aese afrad ki nisbat vitamin A ki zyada zarorat hoti hai jo rozana binai ka estamal kam karte hein. Maslan likhne parhne ka kaam nahi karte hein ya pher aese kaam nahi karte jin mein musalsal aankhein jamma kar rehna parta hai. Kum roshni mein kaam karne walon ya parhne walon ko bhi vitamin A ki zyada zarorat rehti hai. Es vitamin ki zarorat muta-ad-dat bafton ki sehat ke liye bhi hoti hai inein nassiji baftein kehte hein. Ye jism ke khalaon ke sath sath pai jati hein aur aankhon mein aansoun ki naliyon aur aansoun ke ghadudon se munsalik hoti hein. Sehat nassiji baftein aur aansoun ka normal bahao aankhon ki chamak damak aur aab-o-b ka taeiyun karta hai.

Aankhon ki sehat ke liye ek aur vitamin bhi zarori hoti hai jise vitamin B 2 kehte hein es vitamin ke qemti qudrati zarae sabz patton wali tarkariyan, dodh, paneer, ande, tursh phal, kela, tamator, khameer, badam aur suraj makhi ke beaj hein. Be-ronaq aankhein aur naqis binai taqreban her es fard ka masla hoti hai jis ki khorak mein vitamin B 2 ki kami pai jati hai. Aese masael rakhne wale khawateen wa hazrat amoman maskora ghezaein khane mein ksi wajha se nakam rehte hein.

Aankhon ki munasib nighadasht ke liye zarori hai ke dodh, makhaan, phal, sabziyon aur protein per mushtamil matawazan gheza ko apna mamol banaya jae. Kachi gajer mein aese vitamins hote hein jo aankhon ko sehat mand aur chamakdar kefiyat mein rakhte hein es liye gajaron ka estamal khob karna chahiye.

Mahireen ka kehna hai ke aanso aankhon ke liye muffed hote hein. Kyunke ye aankhon ko dho kar in se gard-o-ghobar aur degar ajza kharij kar dete hein. Aansoun ki ratubat mein aik enzyme, lysozyme paya jata hai jo bacteria ko halak karta hai aur in degar jarasim ko tabha karta hai jo mukhtalif amraz peda kar sakte hein. Ye jarasim dakhli aur kharji mahol se aankhon mein dakhil hote hein. Aankhon mein aansoun ki ratobat mein ezafe ke liye mut-ta-ad-dad tareqe mojod hein.

In mein sangtare ya lemo ke chelke ko nichorna, aankhon ke qareeb piyaz katna aur til ke teel ko chand qatre tapkana shamil hai. Aesi khawateen jo kam umri se aese tariqon ki aadi hoti hein’ un ki aankhon ki sehat aur chamak damak numaya rehti hai. In tareqon pe achanak amal dar-amad mumkin hai ap ke liye zyada aasan na ho.
Natural Tips for Beautiful Eyes:
• Mukhtalif qudrati mado mein caster oil ka estamal aankhon ke liye sab se zyada mufeed rehta hai. Es ke chand qatre rozana dono aankhon mein dalna chahiye. Ye aankhon se pani ka ikhraj thodi der ke liye badha deta hai lekin inhein saaf aur thanda kar deta hai. Caster oil se sir ka massage agar ba-qaedgi se apna liya jae to aankhon ka dabao aur khechao kum ho jata hai.

• Jaefal bhi aankhon pe mufeed asrat murattab karti hai es mein chiknai aur udd jane wale teel khob pae jate hein. Es nabaat ka pest dodh se tayar kar ke aankhon ke erd gird aur pap-poto pe lagaya jata hai ye aankhon ko thandak aur farhat bakhshta hai.

• Tarfala: ye aik aayor vedic murakkab hai jis mein her-rad, amla aur bheda ko shamil kiya jata hai. Es murakkab ko lambi palkon aur aankho ki chamak damak ke liye mufeed qarar diya jata hai. Tarfila ka ed chae ka chamcha ek cup pani mein raat bhar bhigo rakhein. Subha ke waqt ese malmal ke kapre se chan lein aur pher es saf pani se aankhein dhoein. Jis kapre se pani chalni kiya jae es se band aankhon ko aik minute tak thapthapaein. Ager aankhon mein jalan ka ehsas ho to aaenda ye amal karne se pehle pani ko thoda der tak refrigerator mein rakh dein.

• Thaki aur bujhi hoi aankhon ko taro-taza aur chamak-dar banane ke liye thandi chae bhi estamal ki jati hai. Kali patti ka qehwa tayar kar ke ese thanda kar lein aur pher es mein roi ke phae (pad) bhigo kar aankhon per rakhein. Pad garam mehsos hone lagen to tabdel kar lein.

• Neem garam pani jis mein mamoli sa namak shamil kiya gaya ho, aankhein dhone ke liye estamal kiya jae to inhein roshan aur chamak-dar bana deta hai. Es se aankhon ke sojan (aankhon ke niche pholi hoi jild) bhi thek ho jati hai. Ye tareqa kar zer-e-amal lane ke liye aadha liter neem garam pani mein ek khane ka chamcha namak shamil karein aur es mein roi ke pad bhigo kar eye pads ke tor per estamal karein. Eye pad ke bajae es pani ke chete bhi bara-he-rast aankhon pe mare ja sakte hein.

• Aankhon ke khubsurti ke liye aik aur aehum bat bhar-por nend hai. Munasib nend ke begher aankhein soji hoi, surkh aur siyah halqo mein gheri nazar aati hein. Rozana kum az kum 7 ghante sona jismani estarahat he nahi aankhon ke sehat aur khubsurti ke liye bhi zarori hai. Jab bhi aap ko nend pori kiye begher bedar hona pare bad mein es kami ko jald az jald pora karne ki koshesh karein. Nend ke elawa bhi din mein jab bhi waqt ejazat de aankhein band kar ke thodi der ke liye khud ko pur-sakon halat mein rakhein.

• Aankhon ke humesha teez dhop se bachana chahiye. Teez dhop ki chamak aankhon ko nuqsan pohcha sakti hai. Garmi ki shedat ke dino mein baher nikalna pade to dhop ki aenak (sun glasses) zaror estamal karein. Ghere rangdar aura chi qisam ke sheshon ke glasses he estamal ki jae to munasib hai.



Learn English Grammar Full